Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota, Urdu Ghazal By Ameer Nehtauri

Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameer Nehtauri. Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ بظاہر عیاں نہیں ہوتا

امیر نہٹوری

وہ بظاہر عیاں نہیں ہوتا

پھر بھی سب سے نہاں نہیں ہوتا

وہ اگر مہرباں نہیں ہوتا

یہ مکمل جہاں نہیں ہوتا

اس ہنر سے وہ زخم دیتے ہیں

جن کا کوئی نشاں نہیں ہوتا

خود سے کرتا ہوں ذکر ماضی کا

جب کوئی ہم زباں نہیں ہوتا

پھر سے دے گا کوئی صدا مجھ کو

اب تو یہ بھی گماں نہیں ہوتا

ہے یقیناً کوئی کمی اپنی

ورنہ وہ بد گماں نہیں ہوتا

درمیاں تھی کوئی انا ورنہ

میں یہاں وہ وہاں نہیں ہوتا

آزمائش ہماری برسوں سے

اس طرح امتحاں نہیں ہوتا

جن کے ذہنوں میں بے نیازی ہو

ان کا کوئی جہاں نہیں ہوتا

امیر نہٹوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota

Ameer Nehtauri

wo ba-zahir ayan nahin hota
phir bhi sab se nihan nahin hota

wo agar mehrban nahin hota
ye mukammal jahan nahin hota

is hunar se wo zaKHm dete hain
jin ka koi nishan nahin hota

KHud se karta hun zikr mazi ka
jab koi ham-zaban nahin hota

phir se dega koi sada mujh ko
ab to ye bhi guman nahin hota

hai yaqinan koi kami apni
warna wo bad-guman nahin hota

darmiyan thi koi ana warna
main yahan wo wahan nahin hota

aazmaish hamari barson se
is tarah imtihan nahin hota

jin ke zehnon mein be-niyazi ho
un ka koi jahan nahin hota

(420) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota written by Ameer Nehtauri at UrduPoint. Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota is one of the masterpieces written by Ameer Nehtauri. You can also find the complete poetry collection of Ameer Nehtauri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameer Nehtauri' above.

Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Ba-zahir Ayan Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.