Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad, Urdu Ghazal By Ameeta Parsuram Meeta

Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ameeta Parsuram Meeta. Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہہ بھی دوں حال دل اگر شاید

امیتا پرسو رام میتا

کہہ بھی دوں حال دل اگر شاید

ان پہ ہو جائے کچھ اثر شاید

اب زمانہ ہے بے وفائی کا

سیکھ لیں ہم بھی یہ ہنر شاید

بعد مدت کے یہ خیال آیا

راس آیا نہیں سفر شاید

ہم ہی اب تک سمجھ نہیں پائے

کچھ تو کہتی ہے وہ نظر شاید

ویسے تو فاصلہ نہیں کوئی

کشمکش ہے اگر مگر شاید

ہر نظارے میں اس کا ہی جلوہ

تم کو آتا نہیں نظر شاید

اجنبی اجنبی سے چہرے ہیں

یہ نہیں ہے مرا نگر شاید

نیند طاری ہے آسمانوں پر

یا دعا میں نہیں اثر شاید

اب کوئی آرزو نہیں باقی

ختم ہوتا ہے یہ سفر شاید

موج در موج ایک نشہ تھا

اب وہ دریا گیا اتر شاید

زندگی اب تجھے سنوارے کیا

کوششیں ساری بے اثر شاید

اک جہاں اجنبی رہا میتاؔ

اک جہاں مجھ سے باخبر شاید

امیتا پرسو رام میتا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad

Ameeta Parsuram Meeta

kah bhi dun haal-e-dil agar shayad
un pe ho jae kuchh asar shayad

ab zamana hai bewafai ka
sikh len hum bhi ye hunar shayad

baad muddat ke ye KHayal aaya
ras aaya nahin safar shayad

hum hi ab tak samajh nahin pae
kuchh to kahti hai wo nazar shayad

waise to fasla nahin koi
kashmakash hai agar magar shayad

har nazare mein us ka hi jalwa
tum ko aata nahin nazar shayad

ajnabi ajnabi se chehre hain
ye nahin hai mera nagar shayad

nind tari hai aasmanon par
ya dua mein nahin asar shayad

ab koi aarzu nahin baqi
KHatm hota hai ye safar shayad

mauj-dar-mauj ek nashsha tha
ab wo dariya gaya utar shayad

zindagi ab tujhe sanware kya
koshishen sari be-asar shayad

ek jahan ajnabi raha 'mita'
ek jahan mujh se ba-KHabar shayad

(687) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad written by Ameeta Parsuram Meeta at UrduPoint. Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad is one of the masterpieces written by Ameeta Parsuram Meeta. You can also find the complete poetry collection of Ameeta Parsuram Meeta by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ameeta Parsuram Meeta' above.

Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kah Bhi Dun Haal-e-dil Agar Shayad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.