Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin, Urdu Ghazal By Anand Narayan Mulla

Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anand Narayan Mulla. Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب اپنے دیدہ و دل کا بھی اعتبار نہیں

آنند نرائن ملا

اب اپنے دیدہ و دل کا بھی اعتبار نہیں

اسی کو پیار کیا جس کے دل میں پیار نہیں

نہیں کہ مجھ کو طبیعت پہ اختیار نہیں

ہر اک جام سے پی لوں وہ بادہ خوار نہیں

ہر ایک گام پہ کانٹوں کی ہیں کمیں گاہیں

شباب آہ شگوفوں کی رہ گزار نہیں

بھری ہوئی ہے وہ کام و دہن میں تلخی زیست

کہ لب پہ جام محبت بھی خوش گوار نہیں

نہ میرے اشکوں سے دامن پہ تیرے آئے گی آنچ

یہ شعلہ رو ہیں مگر فطرت شرار نہیں

کہیں چھپائے سے چھپتی بھی ہے حقیقت غم

وہ غم ہی کیا جو مسرت سے آشکار نہیں

میں تیری یاد سے بہکا چکا ہوں یوں دل کو

کہ اب مجھے تری فرقت بھی ناگوار نہیں

مرے سکوں کے لئے کیوں یہ کوشش پیہم

قرار چھیننے والے تجھے قرار نہیں

جہان عقل کے نفرت کدوں میں بٹ جاتا

ہزار شکر محبت پہ اختیار نہیں

کسی کی لوٹ کے راحت خوشی نہیں ملتی

خزاں کے ہاتھ میں سرمایۂ بہار نہیں

نگاہ دوست کو اس کی بھی ہے خبر لیکن

وہ راز جس کا ابھی دل بھی رازدار نہیں

توجہ نگہہ یار کا سبب معلوم

دل گرفتۂ ملاؔ ابھی شکار نہیں

آنند نرائن ملا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin

Anand Narayan Mulla

ab apne dida-o-dil ka bhi e'tibar nahin
usi ko pyar kiya jis ke dil mein pyar nahin

nahin ki mujh ko tabiat pe iKHtiyar nahin
har ek jam se pi lun wo baada-KHwar nahin

har ek gam pe kanTon ki hain kamin-gahen
shabab aah shagufon ki rahguzar nahin

bhari hui hai wo kaam-o-dahan mein talKHi-e-zist
ki lab pe jam-e-mohabbat bhi KHush-gawar nahin

na mere ashkon se daman pe tere aaegi aanch
ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharar nahin

kahin chhupae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham
wo gham hi kya jo masarrat se aashkar nahin

main teri yaad se bahka chuka hun yun dil ko
ki ab mujhe teri furqat bhi nagawar nahin

mere sukun ke liye kyun ye koshish-e-paiham
qarar chhinne wale tujhe qarar nahin

jahan-e-aql ke nafrat-kadon mein baT jata
hazar shukr mohabbat pe iKHtiyar nahin

kisi ki luT ke rahat KHushi nahin milti
KHizan ke hath mein sarmaya-e-bahaar nahin

nigah-e-dost ko is ki bhi hai KHabar lekin
wo raaz jis ka abhi dil bhi raazdar nahin

tawajja-e-nigah-e-yar ka sabab malum
dil-e-girafta-e-'mulla' abhi shikar nahin

(561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin written by Anand Narayan Mulla at UrduPoint. Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin is one of the masterpieces written by Anand Narayan Mulla. You can also find the complete poetry collection of Anand Narayan Mulla by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anand Narayan Mulla' above.

Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Apne Dida-o-dil Ka Bhi Etibar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.