Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad, Urdu Ghazal By Anand Narayan Mulla

Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anand Narayan Mulla. Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظر خموش ہوئی عرض نا تمام کے بعد

آنند نرائن ملا

نظر خموش ہوئی عرض نا تمام کے بعد

کچھ اور کہہ نہ سکے اشک بے کلام کے بعد

یہ مغبچے ترے ساقی ابھی ہیں خیرہ بہت

ہر ایک جام تہی اور صلائے عام کے بعد

بس اتنی بات کے کیا کیا ہیں بزم میں چرچے

وہ مسکرا سے دیے تھے مرے سلام کے بعد

نماز جام پڑھی شیخ نے نہیں لیکن

عجب سا نور ہے رخ پر طلوع شام کے بعد

ہر اک نزاع کا حل انتقام ہی ہے ابھی

مگر سوال تو یہ ہے کہ انتقام کے بعد

یہ لگ رہا ہے کہ جیسے بچھڑ رہی ہے حیات

پلٹ پلٹ کے نگاہیں ہیں گام گام کے بعد

کسی محل کسی وادی کسی چمن میں نہیں

وہ گل جو دل میں مہکتا ہے نیک کام کے بعد

غرور تشنہ لبی بھی ہے کوئی شے ساقی

تقاضا ہم نہیں کرنے کے جام جام کے بعد

یہ سچ نہیں کہ مرے دل میں اور نام نہیں

مگر یہ سچ ہے کہ یہ سب ہیں تیرے نام کے بعد

ہے زیست زیست اسی کی کہ جس کے بازو کو

عروش صبح بھی ڈھونڈے نگار شام کے بعد

بدلتی قدروں میں کچھ ہوں کہ کچھ نہیں ملاؔ

سوالیہ سا نشاں ہوں خود اپنے نام کے بعد

آنند نرائن ملا

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad

Anand Narayan Mulla

nazar KHamosh hui arz-e-na-tamam ke baad
kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalam ke baad

ye mughbache tere saqi abhi hain KHira bahut
har ek jam-e-tahi aur sala-e-am ke baad

bas itni baat ke kya kya hain bazm mein charche
wo muskura se diye the mere salam ke baad

namaz-e-jam paDhi shaiKH ne nahin lekin
ajab sa nur hai ruKH par tulu-e-sham ke baad

har ek nazaa ka hal intiqam hi hai abhi
magar sawal to ye hai ki intiqam ke baad

ye lag raha hai ki jaise bichhaD rahi hai hayat
palaT palaT ke nigahen hain gam gam ke baad

kisi mahal kisi wadi kisi chaman mein nahin
wo gul jo dil mein mahakta hai nek kaam ke baad

ghurur-e-tishna-saqi bhi hai koi shai saqi
taqaza hum nahin karne ke jam jam ke baad

ye sach nahin ki mere dil mein aur nam nahin
magar ye sach hai ki ye sab hain tere nam ke baad

hai zist zist usi ki ki jis ke bazu ko
uruh-e-subh bhi DhunDe nigar-e-sham ke baad

badalti qadron mein kuchh hun ki kuchh nahin 'mulla'
sawaliya sa nishan hun KHud apne nam ke baad

(530) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad written by Anand Narayan Mulla at UrduPoint. Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad is one of the masterpieces written by Anand Narayan Mulla. You can also find the complete poetry collection of Anand Narayan Mulla by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anand Narayan Mulla' above.

Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nazar KHamosh Hui Arz-e-na-tamam Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.