Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae, Urdu Ghazal By Anees Ansari

Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anees Ansari. Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بھر نہیں پایا ابھی تک زخم کاری ہائے ہائے

انیس انصاری

بھر نہیں پایا ابھی تک زخم کاری ہائے ہائے

دل کو تھامے ہیں لہو پھر بھی ہے جاری ہائے ہائے

درد کا احساس گھٹ جاتا اگر چاہے کوئی

ہو رہی ہے اور الٹے دل فگاری ہائے ہائے

جسم تو پہلے ہی زخمی تھا مگر باقی تھا دل

اب عدو کے ہاتھ میں خنجر ہے بھاری ہائے ہائے

ہجر میں ویسے بھی آتی ہے مصیبت جان پر

پر رقیبوں کی الگ ہے خندہ کاری ہائے ہائے

ریزہ ریزہ کر دیا ظالم نے سارے جسم کو

اڑ رہی ہے خاک پیروں پر ہماری ہائے ہائے

دل گرفتہ ہو کے چپ بیٹھے ہیں شاید اس طرح

رحم آئے دیکھ کر صورت ہماری ہائے ہائے

دست قاتل صید بننے سے نہیں رکتا کبھی

ہے عبث بے چارگی و آہ و زاری ہائے ہائے

جو پرندے اڑ نہیں سکتے اب ان کی خیر ہو

آنے والا ہے اسی جانب شکاری ہائے ہائے

راہ سے پتھر اٹھا کر سوئے ظالم پھینک دے

گر نہیں تیروں کی تجھ میں ضرب کاری ہائے ہائے

ایک قبلہ اک اذاں اور ایک مجلس اک امام

کاش آ جائے سمجھ میں یہ تمہاری ہائے ہائے

انیس انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae

Anees Ansari

bhar nahin paya abhi tak zaKHm-e-kari hae hae
dil ko thame hain lahu phir bhi hai jari hae hae

dard ka ehsas ghaT jata agar chahe koi
ho rahi hai aur ulTe dil-figari hae hae

jism to pahle hi zaKHmi tha magar baqi tha dil
ab adu ke hath mein KHanjar hai bhaari hae hae

hijr mein waise bhi aati hai musibat jaan par
par raqibon ki alag hai KHanda-kari hae hae

reza reza kar diya zalim ne sare jism ko
uD rahi hai KHak pairon par hamari hae hae

dil girafta ho ke chup baiThe hain shayad is tarah
rahm aae dekh kar surat hamari hae hae

dast-e-qatil said banne se nahin rukta kabhi
hai abas be-chaargi-o-ah-o-zari hae hae

jo parinde uD nahin sakte ab un ki KHair ho
aane wala hai isi jaanib shikari hae hae

rah se patthar uTha kar su-e-zalim phenk de
gar nahin tiron ki tujh mein zarb-kari hae hae

ek qibla ek azan aur ek majlis ek imam
kash aa jae samajh mein ye tumhaari hae hae

(693) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae written by Anees Ansari at UrduPoint. Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae is one of the masterpieces written by Anees Ansari. You can also find the complete poetry collection of Anees Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anees Ansari' above.

Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bhar Nahin Paya Abhi Tak ZaKHm-e-kari Hae Hae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.