Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain, Urdu Ghazal By Anwar Shamim Anwar

Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Shamim Anwar. Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صبح نو کا خیال کرتے ہیں

انور شمیم انور

صبح نو کا خیال کرتے ہیں

شب گزیدہ کمال کرتے ہیں

کتنے خوش ہیں مری تباہی پر

جو بظاہر ملال کرتے ہیں

جو دلوں کو نوازتے ہیں بہت

دل وہی پائمال کرتے ہیں

ٹوٹ جاتے ہیں آئنے پھر بھی

ہم بہت دیکھ بھال کرتے ہیں

سوچتا ہوں کہ لوٹ کر مجھ کو

راہزن کیوں ملال کرتے ہیں

خیر مرنا تو ہے بہت آساں

جینے والے کمال کرتے ہیں

گاؤں میں ہی بھلے تھے ہم انورؔ

شہر میں یہ خیال کرتے ہیں

انور شمیم انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain

Anwar Shamim Anwar

subh-e-nau ka KHayal karte hain
shab-gazida kamal karte hain

kitne KHush hain meri tabahi par
jo ba-zahir malal karte hain

jo dilon ko nawazte hain bahut
dil wahi paemal karte hain

TuT jate hain aaine phir bhi
hum bahut dekh-bhaal karte hain

sochta hun ki lauT kar mujh ko
rahzan kyon malal karte hain

KHair marna to hai bahut aasan
jine wale kamal karte hain

ganw mein hi bhale the hum 'anwar'
shahr mein ye KHayal karte hain

(527) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain written by Anwar Shamim Anwar at UrduPoint. Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain is one of the masterpieces written by Anwar Shamim Anwar. You can also find the complete poetry collection of Anwar Shamim Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Shamim Anwar' above.

Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Subh-e-nau Ka KHayal Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.