Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona, Urdu Ghazal By Anwari Jahan Begum Hijab

Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwari Jahan Begum Hijab. Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہاں ممکن ہے پوشیدہ غم دل کا اثر ہونا

انوری جہاں بیگم حجاب

کہاں ممکن ہے پوشیدہ غم دل کا اثر ہونا

لبوں کا خشک ہو جانا بھی ہے آنکھوں کا تر ہونا

غضب مل کر جدا مجھ سے ترا او فتنہ گر ہونا

ستم نالوں کا پر تاثیر ہو کر بے اثر ہونا

جگر میں درد لب پر نالۂ وحشت اثر ہونا

عیاں کرتا ہے اک رشک پری کا دل میں گھر ہونا

غضب نالہ کشی اک صاحب عصمت کے کوچہ میں

ستم اے دل کسی پردہ نشیں کا پردہ در ہونا

وہ ان کا چپکے چپکے مسکرانا خون رونے پر

وہ میرا دل ہی دل میں واصف رنگ اثر ہونا

جو تنہا پاس منزل دل کو شایاں ہے محبت میں

تو آنکھوں کو ہے لازم دیدۂ حسرت نگر ہونا

قیامت تھا ستم تھا قہر تھا خلوت میں او ظالم

وہ شرما کر ترا میری بغل میں جلوہ گر ہونا

ستم کی جور کی بیداد کی کافی شہادت ہے

جدائی میں مرا بیتاب بے خود بے خبر ہونا

انوری جہاں بیگم حجاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona

Anwari Jahan Begum Hijab

kahan mumkin hai poshida gham-e-dil ka asar hona
labon ka KHushk ho jaana bhi hai aankhon ka tar hona

ghazab mil kar juda mujh se tera o fitna-gar hona
sitam nalon ka pur-tasir ho kar be-asar hona

jigar mein dard lab par nala-e-wahshat asar hona
ayan karta hai ek rashk-e-pari ka dil mein ghar hona

ghazab nala-kashi ek sahib-e-ismat ke kuche mein
sitam ai dil kisi parda-nashin ka parda-dar hona

wo un ka chupke chupke muskurana KHun rone par
wo mera dil hi dil mein wasif-e-rang-e-asar hona

jo tanha pas manzil dil ko shayan hai mohabbat mein
to aankhon ko hai lazim dida-e-hasrat-nagar hona

qayamat tha sitam tha qahr tha KHalwat mein o zalim
wo sharma kar tera meri baghal mein jalwa-gar hona

sitam ki jaur ki bedad ki kafi shahadat hai
judai mein mera betab be-KHud be-KHabar hona

(790) ووٹ وصول ہوئے

More Anwari Jahan Begum Hijab Poetry

You can read Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona written by Anwari Jahan Begum Hijab at UrduPoint. Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona is one of the masterpieces written by Anwari Jahan Begum Hijab. You can also find the complete poetry collection of Anwari Jahan Begum Hijab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwari Jahan Begum Hijab' above.

Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahan Mumkin Hai Poshida Gham-e-dil Ka Asar Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.