Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بولے گا کون عاشق نادار کی طرف

ارشد علی خان قلق

بولے گا کون عاشق نادار کی طرف

سارا زمانہ آج تو ہے یار کی طرف

جن آنکھ سے لیا تھا دل اب وہ رہی نہ آنکھ

حیرت سے دیکھتا ہوں رخ یار کی طرف

درباں کبھی جو روکے وہ نازک مزاج ہیں

منہ کر کے سوئیں ہم نہ در یار کی طرف

ہارے ہوئے ہو بوسوں کا کر لو ابھی حساب

فاضل ہے کچھ ہمارا ہی سرکار کی طرف

بیٹھا ہے کب سے منتظر یاں پر نگاہ مہر

دیکھ آنکھ اٹھا کے طالب دیدار کی طرف

پڑتی ہے جبکہ ابروئے قاتل پہ میری آنکھ

رہ رہ کے دیکھتا ہے وہ تلوار کی طرف

داغ ریا شراب سے دھونے کے واسطے

زاہد چلا ہے خانۂ خمار کی طرف

بلبل نے کی بہار میں کس یاس سے اک آہ

چاک قفس سے دیکھ کے گلزار کی طرف

پڑھتا ہوں فاتحہ میں سوئے قبر کوہ کن

ہوتا ہے جب گزر کبھی کہسار کی طرف

یوں دل پہ میرے پڑتی ہے آنکھ اس کی جس طرح

جلاد دیکھتا ہے گنہ گار کی طرف

کرتا ہے شوق دل کے عوض مول حسن کا

دلال بولتا ہے خریدار کی طرف

آئینہ ساں ہوں آمد دلبر کا حیرتی

رخ سوئے در ہے پشت ہے دیوار کی طرف

پھولوں میں یہ کہاں خلش خار کا مزا

جانا جنوں نہ دشت سے گلزار کی طرف

برباد کر نہ خاک مری اے ہوائے شوق

لے چل اڑا کے کوچۂ دل‌‌ دار کی طرف

کون اب کرے ہماری طرف داری اے قلقؔ

دل تک ہے اپنا اپنے دل آزار کی طرف

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf

Arshad Ali Khan Qalaq

bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf
sara zamana aaj to hai yar ki taraf

jin aankh se liya tha dil ab wo rahi na aankh
hairat se dekhta hun ruKH-e-yar ki taraf

darban kabhi jo roke wo nazuk mizaj hain
munh kar ke soen hum na dar-e-yar ki taraf

haare hue ho boson ka kar lo abhi hisab
fazil hai kuchh hamara hi sarkar ki taraf

baiTha hai kab se muntazir yan par nigah-e-mehr
dekh aankh uTha ke talib-e-didar ki taraf

paDti hai jabki abru-e-qatil pe meri aankh
rah rah ke dekhta hai wo talwar ki taraf

dagh-e-riya sharab se dhone ke waste
zahid chala hai KHana-e-KHummar ki taraf

bulbul ne ki bahaar mein kis yas se ek aah
chaak-e-qafas se dekh ke gulzar ki taraf

paDhta hun fatiha main su-e-qabr-e-kohkan
hota hai jab guzar kabhi kohsar ki taraf

yun dil pe mere paDti hai aankh us ki jis tarah
jallad dekhta hai gunahgar ki taraf

karta hai shauq-e-dil ke ewaz mol husn ka
dallal bolta hai KHaridar ki taraf

aaina san hun aamad-e-dilbar ka hairati
ruKH su-e-dar hai pusht hai diwar ki taraf

phulon mein ye kahan KHalish-e-KHar ka maza
jaana junun na dasht se gulzar ki taraf

barbaad kar na KHak meri ai hawa-e-shauq
le chal uDa ke kucha-e-dil-dar ki taraf

kaun ab kare hamari taraf-dari ai 'qalaq'
dil tak hai apna apne dil-azar ki taraf

(555) ووٹ وصول ہوئے

You can read Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bolega Kaun Aashiq-e-nadar Ki Taraf, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.