Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روز اول سے اسیر اے دل ناشاد ہیں ہم

ارشد علی خان قلق

روز اول سے اسیر اے دل ناشاد ہیں ہم

پرورش یافتۂ خانۂ صیاد ہیں ہم

کس طرح سے نہ پسے دل رخ گندم گوں پر

عاقبت حضرت آدم ہی کی اولاد ہیں ہم

جو لڑکپن سے ہے گہوارۂ بیتابی کی

ناز پروردۂ عشق ستم ایجاد ہیں ہم

کیوں نہ ہو رنج‌ اسیری قفس سے راحت

خانہ‌ زاد چمن گلشن بیداد ہیں ہم

خسرو شہر ادا ہے جو وہ رشک شیریں

کوہ اندوہ و غم و یاس کے فرہاد ہیں ہم

دید صنعت سے ہے یاں غایت دید صانع

اے بتو شیفتۂ حسن خداداد ہیں ہم

قیل سے روکے اسے ہم پہ جب لاتے ہیں

طفل اشک اپنے یہ کہتے ہیں کہ استاد ہیں ہم

قید سے بھی نہ رہا ہو کے ہوا کچھ دل شاد

مبتلائے غم تنہائی صیاد ہیں ہم

چمن دہر میں بے وجہ نہیں ہیں نالاں

عندلیب گل رخسارۂ صیاد ہیں ہم

اپنی میراث میں ہیں دشت و جبل اے وحشت

جانشیں قیس کے ہیں وارث فرہاد ہیں ہم

ہتھکڑی کرتی ہے بیعت تو قدم لیتے ہیں خار

تیرے دیوانے جو اے رشک پری زاد ہیں ہم

قدر اپنی نہ جہاں میں ہوئی با وصف کمال

صفت بوئے گل اس باغ میں برباد ہیں ہم

شکوہ کرتا ہوں تباہی کے تو فرماتے ہیں

خانہ بربادیٔ عشاق کی بنیاد ہیں ہم

جاں نثاروں سے ہے تیغ نگۂ یار کا قول

دم میں لاکھوں کو کریں قتل وہ جلاد ہیں ہم

ہم شکایت نہیں کچھ کرتے تمہیں منصف ہو

واجب الرحم ہیں یا قابل بیداد ہیں ہم

ہم سمجھتے ہیں پڑھائی ہوئی باتیں نہ کرو

طفل مکتب ہو تم اے جاں ابھی استاد ہیں ہم

گیسوئے یار کے سودے نے کیا خانہ خراب

کیا ہوا خواہی صیاد میں برباد ہیں ہم

آج ہوتی ہے قلقؔ قطع امید دیدار

نگراں اس لیے سوئے‌ رخ جلاد ہیں ہم

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum

Arshad Ali Khan Qalaq

roz-e-awwal se asir ai dil-e-nashad hain hum
parwarish-yafta-e-KHana-e-sayyaad hain hum

kis tarah se na pise dil ruKH-e-gandum-gun par
aaqibat hazrat-e-adam hi ki aulad hain hum

jo laDakpan se hai gahwara-e-betabi ki
naz-parwarda-e-ishq-e-sitam ijad hain hum

kyun na ho ranj-e-asiri-e-qafas se rahat
KHana-zad-e-chaman-e-gulshan-e-bedad hain hum

KHusraw-e-shahr-e-ada hai jo wo rashk-e-shirin
koh-e-andoh-o-gham-o-yas ke farhad hain hum

did-e-sanat se hai yan ghayat-e-did-e-sanea
ai buto shefta-e-husn-e-KHuda-dad hain hum

qil se roke use hum pe jab late hain
tifl-e-ashk apne ye kahte hain ki ustad hain hum

qaid se bhi na riha ho ke hawa kuchh dil shad
mubtala-e-gham-e-tanhai-e-sayyaad hain hum

chaman-e-dahr mein be-wajh nahin hain nalan
andalib-e-gul-e-ruKHsara-e-sayyaad hain hum

apni miras mein hain dasht-o-jabal ai wahshat
ja-nashin qais ke hain waris-e-farhad hain hum

hathkaDi karti hai baiat to qadam lete hain KHar
tere diwane jo ai rashk-e-pari-zad hain hum

qadr apni na jahan mein hui ba-wasf-kamal
sifat-e-bu-e-gul is bagh mein barbaad hain hum

shikwa karta hun tabahi ke to farmate hain
KHana-barbaadi-e-ushshaq ki buniyaad hain hum

jaan-nisaron se hai tegh-e-nigah-e-yar ka qaul
dam mein lakhon ko karen qatl wo jallad hain hum

hum shikayat nahin kuchh karte tumhin munsif ho
wajibur-rahm hain ya qabil-e-bedad hain hum

hum samajhte hain paDhai hui baaten na karo
tifl-e-maktab ho tum ai jaan abhi ustad hain hum

gesu-e-yar ke saude ne kiya KHana-KHarab
kya hua KHwahi-e-sayyad mein barbaad hain hum

aaj hoti hai 'qalaq' qata-e-ummid-e-didar
nigaran is liye su-e-ruKH-e-jallad hain hum

(534) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.