Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گر دل میں کر کے سیر دل داغدار دیکھ

ارشد علی خان قلق

گر دل میں کر کے سیر دل داغدار دیکھ

اے جان خانہ باغ کی آ کر بہار دیکھ

پچھتائے گا جو ہاتھ سے تو کھوئے گا ہمیں

ہم تجھ سے صاف کہتے ہیں او بد شعار دیکھ

میں کیا وہاں پہ گور تجھے دے ابھی جواب

تربت پہ میری آ کے ذرا تو پکار دیکھ

باہر ہوں اپنے جامے سے گل بلبلیں تو کیا

گلشن میں امتحان کو پوشاک اتار دیکھ

اب مجھ میں تجھ میں ایک سر مو نہیں ہے فرق

موئے میاں ملا کے مرا جسم زار دیکھ

بعد فنا بھی وا رہیں آنکھیں تو آیا تو

وعدہ خلافی اپنی مرا انتظار دیکھ

ہے نور حسن مانع دیدار‌ روۓ یار

آنکھیں یہ کہہ رہی ہیں اسے بار بار دیکھ

تو تیغ تیز کھینچے ہے میں سر جھکائے ہوں

اپنے ستم کو دیکھ مرا انکسار دیکھ

درپئے ہوئے ہیں جان کے ایماں تو لے چکے

بت کرتے ہیں ستم مرے پروردگار دیکھ

پنجوں کے بل زمیں پہ نہ چل بانکپن کو چھوڑ

مانند نقش پا ہے یہ ناپائیدار دیکھ

دکھلا دے مینھ برسنے میں بجلی کا کوندنا

ہنس ہنس کے جانب مژۂ اشکبار دیکھ

کوتاہ عمر ہو گئی اور یہ نہ کم ہوئی

اے جان آ کے طول شب انتظار دیکھ

بد وضع ہم کو کہہ کے بنا نیک تو چہ خوش

اطوار اپنے دیکھ ہمارا شعار دیکھ

بجلی گرائی غیر سیہ رو پر اے قلقؔ

تاثیر گرم آہ دل بے قرار دیکھ

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh

Arshad Ali Khan Qalaq

gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-dagh-dar dekh
ai jaan KHana-e-bagh ki aa kar bahaar dekh

pachhtaega jo hath se tu khoega hamein
hum tujh se saf kahte hain o bad-shiar dekh

main kya wahan pe gor tujhe de abhi jawab
turbat pe meri aa ke zara tu pukar dekh

bahar hon apne jame se gul bulbulen to kya
gulshan mein imtihan ko poshak utar dekh

ab mujh mein tujh mein ek sar-e-mu nahin hai farq
mu-e-miyan mila ke mera jism-e-zar dekh

baad-e-fana bhi wa rahin aankhen to aaya tu
wada-KHilafi apni mera intizar dekh

hai nur-e-husn mane-e-didar-e-ru-e-yar
aankhen ye kah rahi hain use bar bar dekh

tu tegh-e-tez khinche hai main sar jhukae hun
apne sitam ko dekh mera inkisar dekh

darpai hue hain jaan ke iman to le chuke
but karte hain sitam mere parwardigar dekh

panjon ke bal zamin pe na chal bankpan ko chhoD
manind-e-naqsh-e-pa hai ye na-paedar dekh

dikhla de minh barasne mein bijli ka kaundna
hans hans ke jaanib-e-miza-e-ashk-bar dekh

kotah umr ho gai aur ye na kam hui
ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizar dekh

bad-waza hum ko kah ke bana nek tu che KHush
atwar apne dekh hamara shiar dekh

bijli girai ghair siyah-ru par ai 'qalaq'
tasir-e-garm aah-e-dil-e-be-qarar dekh

(618) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.