Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈورا نہیں ہے سرمے کا چشم سیاہ میں

ارشد علی خان قلق

ڈورا نہیں ہے سرمے کا چشم سیاہ میں

بانا پڑا ہے یار کے پائے نگاہ میں

ہر دم جو میں کھٹکتا ہوں ان کی نگاہ میں

مانند خار اٹھتے ہیں اغیار راہ میں

گھر اس کے دل میں کر کے گئی مفت اپنی جان

کشتی ہماری ڈوب گئی آ کے تھاہ میں

ہر دم وہ سلک گوہر ویران ہوں گھورتا

موتی پرو رہا ہوں میں تار نگاہ میں

ملتا نہیں ہے منزل مقصد کا راہبر

رہزن ہی سے ہو کاش ملاقات راہ میں

آنے کا ان کے کوئی مقرر نہیں ہے دن

آ نکلے ایک بار کہیں سال و ماہ میں

چھینا گلی میں اپنے حسینوں نے نقد دل

لوٹا ہے رہزنوں نے مسافر کو راہ میں

کرتی ہے قتل بانکی ادا اس کی خلق کو

پٹھا لگا ہے تیغ کا تیری کلاہ میں

لڑتے ہی اس سے آنکھ فنا تھے حباب وار

بہر قضا کا گھاٹ ہے تیغ نگاہ میں

دل آ گیا ذقن پہ تری یک بیک مرا

گرتا ہے کوئی دیدہ و دانستہ چاہ میں

خوش چشم تو وہ ہے کہ غزالان ہند و چین

آگے ترے سماتے نہیں ہیں نگاہ میں

ہے شور آمد آمد قاتل جو دیر سے

ہنگامہ جاں نثاروں کا ہے قتل گاہ میں

کیا تم کو خط زیست ہے اتنا تو پوچھتا

ہوتی اگر خضر سے ملاقات راہ میں

اے سرو قد گیا ہوں پئے سیر باغ جب

لپٹا ہوں شجر سے ترے اشتباہ میں

خورشید و ماہ کی بھی جھپکتی ہے اکثر آنکھ

ذروں کی وہ چمک ہے تری گرد راہ میں

آنا ہے او شکار فگن گر تجھے تو آ

امیدوار صید ہیں نخچیر گاہ میں

سندور اس کی مانگ میں دیتا ہے یوں بہار

جیسے دھنک نکلتی ہے ابر سیاہ میں

غفلت یہ ہے کسی کو نہیں قبر کا خیال

کوئی ہے فکر ناں میں کوئی فکر جاہ میں

کہتے ہیں دیکھتے ہیں مبصر اگر اسے

یہ جنس بے بہا ہے ہمارے نگاہ میں

کیا دوں میں اس کے چہرۂ پر نور سے مثال

دھبا لگا ہوا ہے بڑا روئے ماہ میں

ترچھی نظر سے اس نے جو دیکھا یقین ہوا

بل پڑ گیا ہے یار کی تیغ نگاہ میں

اغیار منہ چھپائیں گے ہم سے کہاں تلک

ہوگی کبھی تو ہم سے ملاقات راہ میں

فریاد رس کے پہونچی نہ فریاد کان تک

ارمان رہ گیا یہ دل داد خواہ میں

منزل ہے اپنی اپنی قلقؔ اپنی اپنی گور

کوئی نہیں شریک کسی کے گناہ میں

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein

Arshad Ali Khan Qalaq

Dora nahin hai surme ka chashm-e-siyah mein
bana paDa hai yar ke pa-e-nigah mein

har-dam jo main khaTakta hun un ki nigah mein
manind-e-KHar uThte hain aghyar rah mein

ghar us ke dil mein kar ke gai muft apni jaan
kashti hamari Dub gai aa ke thah mein

har-dam wo silk-e-gauhar-e-viran hun ghurta
moti piro raha hun main tar-e-nigah mein

milta nahin hai manzil-e-maqsad ka rahbar
rahzan hi se ho kash mulaqat rah mein

aane ka un ke koi muqarrar nahin hai din
aa nikle ek bar kahin sal o mah mein

chhina gali mein apne hasinon ne naqd-e-dil
luTa hai rahzanon ne musafir ko rah mein

karti hai qatl banki ada us ki KHalq ko
paTTha laga hai tegh ka teri kulah mein

laDte hi us se aankh fana the habab-war
bahr-e-qaza ka ghaT hai tegh-e-nigah mein

dil aa gaya zaqan pe teri yak-ba-yak mera
girta hai koi dida-o-danista chah mein

KHush-chashm tu wo hai ki ghazalan-e-hind-o-chi
aage tere samate nahin hain nigah mein

hai shor aamad-amad qatil jo dair se
hangama jaan-nisaron ka hai qatl-gah mein

kya tum ko KHat-e-zist hai itna to puchhta
hoti agar KHizr se mulaqat rah mein

ai sarw-e-qad gaya hun pai-e-sair-e-bagh jab
lipTa hun shajar se tere ishtibah mein

KHurshid-o-mah ki bhi jhapakti hai aksar aankh
zarron ki wo chamak hai teri gard-e-rah mein

aana hai o shikar-e-fagan gar tujhe to aa
ummid-war said hain naKHchir-gah mein

sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein

ghaflat ye hai kisi ko nahin qabr ka KHayal
koi hai fikr-e-nan mein koi fikr-e-jah mein

kahte hain dekhte hain mubassir agar use
ye jins-e-be-baha hai hamare nigah mein

kya dun main us ke chehra-e-pur-nur se misal
dhabba laga hua hai baDa ru-e-mah mein

tirchhi nazar se us ne jo dekha yaqin hua
bal paD gaya hai yar ki tegh-e-nigah mein

aghyar munh chhupaenge hum se kahan talak
hogi kabhi to hum se mulaqat rah mein

fariyaad ras ke pahunchi na fariyaad kan tak
arman rah gaya ye dil-e-dad-KHwah mein

manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor
koi nahin sharik kisi ke gunah mein

(654) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dora Nahin Hai Surme Ka Chashm-e-siyah Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.