Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حضور غیر تم عشاق کی تحقیر کرتے ہو

ارشد علی خان قلق

حضور غیر تم عشاق کی تحقیر کرتے ہو

محبت کرنے والوں کی یہی توقیر کرتے ہو

عبث تم خواہش‌ وصل بت بے پیر کرتے ہو

جو قسمت میں نہیں ہے اس کی کیا تدبیر کرتے ہو

زمین و آسماں کا فرق ہے خورشید و ذرہ میں

مقابل چاند سے کیا یار کی تصویر کرتے ہو

دم آخر لڑے وحشی کے زنداں میں یہ غل ہوگا

ستم کرتے ہو ویراں خانۂ زنجیر کرتے ہو

جو مجھ سودا زدہ نے کی کبھی تشریح زلفوں کی

تو بولے ہنس کے کیا الجھی ہوئی تقریر کرتے ہو

مسافر کے لئے ہے فکر گور اے منعمو لازم

عمارت کیا سرائے دہر میں تعمیر کرتے ہو

سحر تک نیند اڑ جاتی ہے ہم سایے کی تو بے شک

اثر کیا خاک اور اے نالۂ شبگیر کرتے ہو

جو مشق حرف لا کرتا ہوں کہتے ہیں دقیقہ رس

معمائے دہان یار کیا تحریر کرتے ہو

عبث دل توڑ کر یاد بتاں میں محو ہو اتنا

خدا کے گھر کو ڈھا کر بت کدہ تعمیر کرتے ہو

ہمارے بعد آؤ گے تو کیا اے نامہ بر کہنا

ہم آخر ہوتے ہیں آنے میں تم تاخیر کرتے ہو

خط و رخ کی صفت میں رٹ لگی رہتی ہے جو تم کو

قلقؔ کیا حفظ قرآں کا مع تفسیر کرتے ہو

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho

Arshad Ali Khan Qalaq

huzur-e-ghair tum ushshaq ki tahqir karte ho
mohabbat karne walon ki yahi tauqir karte ho

abas tum KHwahish-e-wasl-e-but-e-be-pir karte ho
jo qismat mein nahin hai us ki kya tadbir karte ho

zamin-o-asman ka farq hai KHurshid-o-zarre mein
muqabil chand se kya yar ki taswir karte ho

dam-e-aKHir laDe wahshi ke zindan mein ye ghul hoga
sitam karte ho viran KHana-e-zanjir karte ho

jo mujh sauda-zada ne ki kabhi tashrih zulfon ki
to bole hans ke kya uljhi hui taqrir karte ho

musafir ke liye hai fikr-e-gor ai munimo lazim
imarat kya sara-e-dahr mein tamir karte ho

sahar tak nind uD jati hai ham-sae ki to be-shak
asar kya KHak aur ai nala-e-shab-gir karte ho

jo mashq-e-harf-e-la karta hun kahte hain daqiqa-ras
muama-e-dahan-e-yar kya tahrir karte ho

abas dil toD kar yaad-e-butan mein mahw ho itna
KHuda ke ghar ko Dha kar but-kada tamir karte ho

hamare baad aaoge to kya ai nama-bar kahna
hum aaKHir hote hain aane mein tum taKHir karte ho

KHat-o-ruKH ki sifat mein raT lagi rahti hai jo tum ko
'qalaq' kya hifz quran ka ma-e-tafsir karte ho

(548) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.