Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ملتا ہے قید غم میں بھی لطف فضاۓ باغ

ارشد علی خان قلق

ملتا ہے قید غم میں بھی لطف فضاۓ باغ

چاک قفس سے آتی ہے فرفر ہوائے باغ

روکے زباں نہ بلبل بستاں سراۓ باغ

دہرائے پھر مرے سے کہو ماجرائے باغ

سنتے ہیں اب کی آئی ہے کس دھوم سے بہار

کیا جی پھڑک رہا ہے قفس میں برائے باغ

کن چہچہوں میں اپنی بسر ہوتی تھی مدام

اے ہم صفیر کیا ہو بیاں ماجرائے باغ

گزرے نسیم ادھر سے تو پوچھیں گے ہم اسیر

ہم کو بھی یاد کرتے ہیں نغمہ سرائے باغ

اے ہم صفیر اب تو چلے قید ہو کے ہم

تقدیر دیکھیے ہمیں پھر کب دکھائے باغ

مجھ مست کا چمن میں شناسا کوئی نہیں

اک دخت رز قدیم سے ہے آشنائے باغ

پاتے ہیں سرو گل میں تری شکل قد و رخ

فرقت میں جی کہیں نہیں لگتا سوائے باغ

اس دن سے اپنے بلبل دل کو ہے عشق گل

گلزار دہر میں ہوئی جیسے بنائے باغ

ملتا نہیں ہے نخل تمنا سے یاں ثمر

پھر کوئی کس امید پہ اس جا لگائے باغ

نرگس کی ہے وہ آنکھ نہ گل کا وہ رنگ ہے

چلتی ہے اب کی سال مخالف ہوائے باغ

اب چہچہے ہیں وہ نہ نوا سنجیاں ہیں وہ

شاید گزر گیا قلقؔ خوش نوائے باغ

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh

Arshad Ali Khan Qalaq

milta hai qaid-e-gham mein bhi lutf-e-faza-e-bagh
chaak-e-qafas se aati hai farfar hawa-e-bagh

roke zaban na bulbul-e-bustan sara-e-bagh
dohrae phir mere se kaho majra-e-bagh

sunte hain ab ki aai hai kis dhum se bahaar
kya ji phaDak raha hai qafas mein barae bagh

kin chahchahon mein apni basar hoti thi mudam
ai ham-safir kya ho bayan majra-e-bagh

guzre nasim idhar se to puchhenge hum asir
hum ko bhi yaad karte hain naghma-sara-e-bagh

ai ham-safir ab to chale qaid ho ke hum
taqdir dekhiye hamein phir kab dikhae bagh

mujh mast ka chaman mein shanasa koi nahin
ek duKHt-e-raz qadim se hai aashna-e-bagh

pate hain sarw-e-gul mein teri shakl qadd-o-ruKH
furqat mein ji kahin nahin lagta siwae bagh

us din se apne bulbul-e-dil ko hai ishq-e-gul
gulzar-e-dahr mein hui jaise bina-e-bagh

milta nahin hai naKHl-e-tamanna se yan samar
phir koi kis umid pe is ja lagae bagh

nargis ki hai wo aankh na gul ka wo rang hai
chalti hai ab ki sal muKHalif hawa-e-bagh

ab chahchahe hain wo na nawa-sanjiyan hain wo
shayad guzar gaya 'qalaq'-e-KHush-nawa-e-bagh

(565) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.