Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ کل تک تھے وہ منہ لگانے کے قابل

ارشد علی خان قلق

نہ کل تک تھے وہ منہ لگانے کے قابل

ہوئے آج باتیں بنانے کے قابل

تری بندگی اور سیہ کار مجھ سا

یہ سر اور ترے آستانے کے قابل

لب زخم دل پر یہ ہے شور قاتل

تری تیغ کا پھل ہے کھانے کے قابل

نکالے صنم پیٹ سے پاؤں تم نے

ہوئے جب کہیں آنے جانے کے قابل

دل بوالہوس لائق داغ الفت

یہ درہم نہ تھے اس خزانے کے قابل

ان آئینہ رویوں کی الفت نے اے دل

نہ رکھا ہمیں منہ دکھانے کے قابل

یہاں سو ہیں کھٹکے چلو اس چمن سے

نہیں یہ جگہ آشیانے کے قابل

پتنگے ہیں گستاخ اے شمع پیکر

نہیں تیری محفل میں آنے کے قابل

کوئی اس کے دزد حنا سے یہ کہہ دے

مرا نقد دل ہے چرانے کے قابل

کبھی خون میں میرے بھی ہاتھ تر کر

یہ مہندی ہے تیرے لگانے کے قابل

فلک کیا رلایا کرے گا ہمیشہ

کبھی ہم بھی ہوں گے ہنسانے کے قابل

مریض محبت تمہارا ہے لاغر

نہیں یار فرقت اٹھانے کے قابل

کسے دیکھیں ہم اور دکھلائیں کس کو

نہ اب دیکھنے نے دکھانے کے قابل

غش استادیوں پر ہیں جانیں نہ پوچھیں

قلقؔ ایسے ہیں اس زمانے کے قابل

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil

Arshad Ali Khan Qalaq

na kal tak the wo munh lagane ke qabil
hue aaj baaten banane ke qabil

teri bandagi aur siyahkar mujh sa
ye sar aur tere aastane ke qabil

lab-e-zaKHm-e-dil par ye hai shor qatil
teri tegh ka phal hai khane ke qabil

nikale sanam peT se panw tum ne
hue jab kahin aane-jaane ke qabil

dil-e-bul-hawas laeq-e-dagh-e-ulfat
ye darham na the is KHazane ke qabil

un aaina-ruyon ki ulfat ne ai dil
na rakkha hamein munh dikhane ke qabil

yahan sau hain khaTke chalo is chaman se
nahin ye jagah aashiyane ke qabil

patange hain gustaKH ai shama-paikar
nahin teri mahfil mein aane ke qabil

koi us ke duzd-e-hina se ye kah de
mera naqd-e-dil hai churane ke qabil

kabhi KHun mein mere bhi hath tar kar
ye mehndi hai tere lagane ke qabil

falak kya rulaya karega hamesha
kabhi hum bhi honge hansane ke qabil

mariz-e-mohabbat tumhaara hai laghar
nahin yar furqat uThane ke qabil

kise dekhen hum aur dikhlaen kis ko
na ab dekhne ne dikhane ke qabil

ghash ustadiyon par hain jaanen na puchhen
'qalaq' aise hain is zamane ke qabil

(406) ووٹ وصول ہوئے

You can read Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.