LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لٹ رہی ہے دولت دیدار قیصر باغ میں

ارشد علی خان قلق

لٹ رہی ہے دولت دیدار قیصر باغ میں

مثل گل سب ہو گئے زردار قیصر‌ باغ میں

دیکھتے ہیں یار کا پڑھتا ہے کلمہ کون کون

جمع ہیں سب کافر و دیندار قیصر باغ میں

ہم سے آنکھ اس نے لڑائی تیوری بدلی غیر نے

چلتے چلتے رہ گئی تلوار قیصر باغ میں

اس کمان ابرو نے کیں دل پر نظر اندازیاں

ہم پہ تیروں کی ہوئی بوچھار قیصر باغ میں

گاتے ہیں مرغان گلشن پینگ دیتی ہے صدا

جبکہ جھولا جھولتا ہے یار قیصر باغ میں

بے خودی چھائی ہوئی ہے یہ شراب عیش کی

مست دو باہر پڑے ہیں چار قیصر باغ میں

یاں ہوا میں ہے دم عیسیٰ کا عالم کیا عجب

پاے صحت نرگس بیمار قیصر باغ میں

میں تو کیا ہوتے ہیں گل بھی کشتۂ تیغ خرام

بانکی ترچھی چلتے ہو رفتار قیصر‌ باغ میں

جلوہ افگن نور کے ہیں پھول پھل طوبیٰ کی طرف

خلد سے منگوائے ہیں اشجار قیصر باغ میں

اب تو اے رشک چمن صورت دکھانا چاہئے

نالہ کش ہے عندلیب زار قیصر باغ میں

وہ نہ تھے پہلو میں تو اس نے بھی کی پہلو تہی

مجھ سے دل میں دل سے تھا بیزار قیصر باغ میں

دور عشرت ہے یہ زوروں پر ہیں میکش کیا عجب

محتسب کی چھین لیں دستار قیصر باغ میں

آمد آمد ہے سلامی کو ہمارے شاہ کی

ہیں جوانان چمن طیار قیصر باغ میں

محتسب کے ہاتھ سے تنگ اس قدر ہیں اے قلقؔ

آئے ہیں نالش کو سب مے خوار قیصر باغ میں

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein

Arshad Ali Khan Qalaq

luT rahi hai daulat-e-didar qiasar-bagh mein
misl-e-gul sab ho gae zardar qaisar-bagh mein

dekhte hain yar ka paDhta hai kalima kaun kaun
jama hain sab kafir-o-dinda qiasar-bagh mein

hum se aankh us ne laDai tewri badli ghair ne
chalte chalte rah gai talwar qiasar-bagh mein

us kaman-e-abru ne kin dil par nazar-andaziyan
hum pe tiron ki hui bauchhaar qiasar-bagh mein

gate hain murghan-e-gulshan peng deti hai sada
jabki jhula jhulta hai yar qiasar-bagh mein

be-KHudi chhai hui hai ye sharab-e-aish ki
mast do bahar paDe hain chaar qiasar-bagh mein

yan hawa mein hai dam-e-isa ka aalam kya ajab
pae sehat nargis-e-bimar qiasar-bagh mein

main to kya hote hain gul bhi kushta-e-tegh-e-KHiram
banki tirchhi chalte ho raftar qaisar-bagh mein

jalwa-afgan nur ke hain phul phal tuba ki tarf
KHuld se mangwae hain ashjar qiasar-bagh mein

ab to ai rashk-e-chaman surat dikhana chahiye
nala-kash hai andalib-e-zar qiasar-bagh mein

wo na the pahlu mein to us ne bhi ki pahlu-tahi
mujh se dil mein dil se tha bezar qiasar-bagh mein

daur-e-ishrat hai ye zoron par hain mai-kash kya ajab
mohtasib ki chhin len dastar qiasar-bagh mein

aamad aamad hai salami ko hamare shah ki
hain jawanan-e-chaman tayyar qiasar-bagh mein

mohtasib ke hath se tang is qadar hain ai 'qalaq'
aae hain nalish ko sab mai-KHwar qiasar-bagh mein

(539) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.