Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرم ان کا خود ہے بڑھ کر مری حد التجا سے

آرزو لکھنوی

کرم ان کا خود ہے بڑھ کر مری حد التجا سے

مجھے سوء ظن نہیں ہے کہ دعا کروں خدا سے

دل مطمئن کی وسعت کوئی کم ہے ماسوا سے

مجھے کاہے کی کمی ہے جو طلب کروں خدا سے

ہوئی ختم غم کی آندھی وہی دل کی لو ہے اب بھی

یہی شعلہ تھا وہ شعلہ کہ لڑا کیا ہوا سے

کہے کون اسے پتنگا جو ہے شعلے پر دھواں سا

تجھے لے اڑے ہیں کتنا ترے پر ذرا ذرا سے

جو ہے سب کا دینے والا میں اسی کو چاہتا ہوں

مری بھیک وہ نہیں ہے کہ ملے کسی گدا سے

یہ ہے قصر زندگانی کہ حباب بحر فانی

ابھی بن گیا ہوا سے ابھی مٹ گیا ہوا سے

یہ خیال خود ہے ایسا جو خوشی بنا دے غم کو

کہ ہے ابتدا خوشی کی مرے غم کی انتہا سے

مرا دل رضا پہ راضی کرم اس کا جوش پر ہے

جو اب آ گئی زباں تک تو اثر گیا دعا سے

مری لاکھ منتوں پر تری اک حیا ہے بھاری

کوئی پردہ ہے وہ پردہ کہ ہلے ڈلے ہوا سے

ترے پاکباز الفت نہیں ہارنے کے ہمت

جو مریں گے ڈوب کر بھی تو مریں گے رہ کے پیاسے

کسی دل کی آس یوں بھی کبھی آرزوؔ نہ ٹوٹے

یہ کہے بنی ہے دم پر وہ کہے مری بلا سے

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se

Arzoo Lakhnavi

karam un ka KHud hai baDh kar meri hadd-e-iltija se
mujhe su-e-zan nahin hai ki dua karun KHuda se

dil-e-mutmain ki wusat koi kam hai ma-siwa se
mujhe kahe ki kami hai jo talab karun KHuda se

hui KHatm gham ki aandhi wahi dil ki lau hai ab bhi
yahi shoala tha wo shoala ki laDa kiya hawa se

kahe kaun use patinga jo hai shoale par dhuan sa
tujhe le uDe hain kitna tere par zara zara se

jo hai sab ka dene wala main usi ko chahta hun
meri bhik wo nahin hai ki mile kisi gada se

ye hai qasr-e-zindagani ki habab-e-bahr-e-fani
abhi ban gaya hawa se abhi miT gaya hawa se

ye KHayal KHud hai aisa jo KHushi bana de gham ko
ki hai ibtida KHushi ki mere gham ki intiha se

mera dil raza pe raazi karam us ka josh par hai
jo ab aa gai zaban tak to asar gaya dua se

meri lakh minnaton par teri ek haya hai bhaari
koi parda hai wo parda ki hile-Dule hawa se

tere pak-baz-e-ulfat nahin haarne ke himmat
jo marenge Dub kar bhi to marenge rah ke pyase

kisi dil ki aas yun bhi kabhi 'arzu' na TuTe
ye kahe bani hai dam par wo kahe meri bala se

(534) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karam Un Ka KHud Hai BaDh Kar Meri Hadd-e-iltija Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.