Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ داستان دل ہے کیا ہو ادا زباں سے

آرزو لکھنوی

یہ داستان دل ہے کیا ہو ادا زباں سے

آنسو ٹپک رہے ہیں لفظیں ملیں کہاں سے

ہے ربط دو دلوں کو بے ربطیٔ بیاں سے

کچھ وہ کہیں نظر سے کچھ ہم کہیں زباں سے

یہ روتے روتے ہنسنا ترتیب ذکر غم ہے

آیا ہوں ابتدا پر چھیڑا تھا درمیاں سے

حاصل تو زندگی کا تھی زندگی یہیں کی

اب میں ہوں اک جنازہ اٹھوا دو آستاں سے

اس طول خامشی کا زور بیاں بھی دیکھا

تھی بات میرے دل کی نکلی تری زباں سے

جب حسن خود نما ہے اور عشق رخنہ افگن

اس کشمکش میں پردہ نکلے گا درمیاں سے

میدان امتحان میں اے بے غرض محبت

دل کی زمین تو نے ٹکرا دی آسماں سے

اس رازدار غم کی حالت نہ پوچھ جس کو

کہنا تو ہے بہت کچھ محروم ہے زباں سے

اے جذب شوق منزل ممنون غیر کیوں ہوں

خود راستہ بدل کر بچھڑا ہوں کارواں سے

ہر گام پر ٹھٹھکنا ہر بار مڑ کے تکنا

او مسکرانے والے کیا لے چلا یہاں سے

ظاہر فریب وعدہ پھر اعتبار اتنا

وہ لکھ گیا دلوں پر جو کہہ دیا زباں سے

آنکھوں سے باغباں کی شعلے نکلے رہے ہیں

تنکے دبائے منہ میں نکلا ہوں آشیاں سے

دل کا سکوں گنوا کر ہوں آرزو پشیماں

کچھ لے کے رکھ نہ چھوڑا کیوں جنس رائیگاں سے

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se

Arzoo Lakhnavi

ye dastan-e-dil hai kya ho ada zaban se
aansu Tapak rahe hain lafzen milen kahan se

hai rabt do dilon ko be-rabti-e-bayan se
kuchh wo kahen nazar se kuchh hum kahen zaban se

ye rote rote hansna tartib-e-zikr-e-gham hai
aaya hun ibtida par chheDa tha darmiyan se

hasil to zindagi ka thi zindagi yahin ki
ab main hun ek janaza uThwa do aastan se

is tul-e-KHamushi ka zor-e-bayan bhi dekha
thi baat mere dil ki nikli teri zaban se

jab husn KHud-numa hai aur ishq raKHna-afgan
is kashmakash mein parda niklega darmiyan se

maidan-e-imtihan mein ai be-gharaz mohabbat
dil ki zamin tu ne Takra di aasman se

us raazdar-e-gham ki haalat na puchh jis ko
kahna to hai bahut kuchh mahrum hai zaban se

ai jazb-e-shauq-e-manzil mamnun-e-ghair kyun hon
KHud rasta badal kar bichhDa hun karwan se

har gam par ThiThakna har bar muD ke takna
o muskurane wale kya le chala yahan se

zahir fareb-e-wada phir e'tibar itna
wo likh gaya dilon par jo kah diya zaban se

aaankhon se baghban ki shoale nikle rahe hain
tinke dabae munh mein nikla hun aashiyan se

dil ka sakun ganwa kar hon aarzu pasheman
kuchh le ke rakh na chhoDa kyun jins-e-raegan se

(600) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Dastan-e-dil Hai Kya Ho Ada Zaban Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.