Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi, Urdu Ghazal By Arzoo Lakhnavi

Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arzoo Lakhnavi. Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں دور دور دل سے ہو ہو کے دل نشیں بھی

آرزو لکھنوی

یوں دور دور دل سے ہو ہو کے دل نشیں بھی

ہیں تو اسی جہاں میں ملتے نہیں کہیں بھی

کم ایک قبر سے ہے مجھ کو یہ کل زمیں بھی

مر رہنے کا ٹھکانا ملتا نہیں کہیں بھی

طوفان بحر خود ہیں بڑھتی امنگیں دل کی

کشتی قرار لے گی ہو کر نہ تہہ نشیں بھی

امکاں کی حد کے اندر کوشش کی حد سے باہر

دل جس کو ڈھونڈھتا ہے وہ ہے بھی اور نہیں بھی

امید دل کی فطرت ہے بے نیاز تسکیں

کم ہو نہ بے قراری آئے اگر یقیں بھی

بیم و رجا سے دل میں دریا کا جزر و مد ہے

ساحل نواز موجیں آئیں بھی اور گئیں بھی

یہ ملتفت نگاہیں شیوہ وغا ہے جن کا

ہیں موجب سکوں بھی ہنگامہ آفریں بھی

کر پہلے دل پہ قابو جامے کی پھر خبر لے

دامن بچانے والے جاتی ہے آستیں بھی

خطرے میں جان جس سے وہ جان سے بھی پیارا

رنگیں عذار شعلہ قاتل بھی ہے حسیں بھی

سرگشتۂ محبت دار محن میں پھر کر

دیکھ آئے گوشہ گوشہ راحت نہیں کہیں بھی

نیرنگیٔ تلون لاحل سا اک معمہ

سمجھے جو تیرے تیور پڑھ لے خط جبیں بھی

شان غرور ان کی تصویر اک رخی ہے

اور آرزو کی نظریں شیدا بھی ہیں حسیں بھی

آرزو لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi

Arzoo Lakhnavi

yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi
hain to isi jahan mein milte nahin kahin bhi

kam ek qabr se hai mujh ko ye kul zamin bhi
mar rahne ka Thikana milta nahin kahin bhi

tufan-e-bahr KHud hain baDhti umangen dil ki
kashti qarar legi ho kar na tah-nashin bhi

imkan ki had ke andar koshish ki had se bahar
dil jis ko DhunDhta hai wo hai bhi aur nahin bhi

ummid-e-dil ki fitrat hai be-niyaz taskin
kam ho na be-qarari aae agar yaqin bhi

bim-o-raja se dil mein dariya ka jazr-o-mad hai
sahil-nawaz maujen aain bhi aur gain bhi

ye multafit nigahen shewa wigha hai jin ka
hain mojib-e-sukun bhi hangama-afrin bhi

kar pahle dil pe qabu jame ki phir KHabar le
daman bachane wale jati hai aastin bhi

KHatre mein jaan jis se wo jaan se bhi pyara
rangin-ezar shoala qatil bhi hai hasin bhi

sar-gashta-e-mohabbat dar-e-mehan mein phir kar
dekh aae gosha gosha rahat nahin kahin bhi

nairangi-e-talawwun la-hal sa ek muamma
samjhe jo tere tewar paDh le KHat-e-jabin bhi

shan-e-ghurur un ki taswir ek ruKHi hai
aur aarzu ki nazren shaida bhi hain hasin bhi

(659) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi written by Arzoo Lakhnavi at UrduPoint. Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi is one of the masterpieces written by Arzoo Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Arzoo Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arzoo Lakhnavi' above.

Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.