Zindagi Maut Ka Aaina, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

Zindagi Maut Ka Aaina is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. Zindagi Maut Ka Aaina comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Zindagi Maut Ka Aaina on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زندگی موت کا آئینہ

اصغر ندیم سید

جیسی زندگی ہم گزارتے ہیں ویسی موت ہمیں ملتی ہے

ہم بزدل آدمی کی زندگی گزارتے ہیں

تو ہمیں موت بھی ویسی ہی بزدل نصیب ہوتی ہے

ہم خوب صورت زندگی جیتے ہیں

تو موت بھی خوب صورت ملتی ہے

ہم محبت کی زندگی گزارتے ہیں

تو موت بھی محبوبہ کی طرح ہمیں ملتی ہے

انسان نے ہر شے کو گدلا کیا ہے

ہر قیمتی آدرش کو میلا کیا ہے

ہر لفظ کو بے معنی کیا ہے

اللہ کی بنائی ہوئی چیزوں کو مسخ کرنے کی کوشش کی ہے

لیکن انسان موت کو گدلا نہیں کر سکا

میلا نہیں کر سکا

بے معنی نہیں کر سکا

مسخ نہیں کر سکا

موت سے زیادہ خالص شے دنیا میں نہیں ہے

اس سے زیادہ با معنی شے موجود نہیں ہے

مگر میں کیوں ایسا کہہ رہا ہوں

مجھے تو ایک بہت ہی خوب صورت زندگی بسر کرنی ہے

محبت سے لبریز

رقص کرتی ہوئی زندگی

جس میں رقاص غائب ہو جاتا ہے

اور صرف رقص باقی رہتا ہے

مجھے ایک بے حد لذت بھری

رسیلی زندگی سے گلے ملنا ہے

تاکہ میری موت بھی خوب صورت ہو

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zindagi Maut Ka Aaina

Asghar Nadeem Sayed

jaisi zindagi hum guzarte hain waisi maut hamein milti hai
hum buzdil aadmi ki zindagi guzarte hain
to hamein maut bhi waisi hi buzdil nasib hoti hai
hum KHubsurat zindagi jite hain
to maut bhi KHubsurat milti hai
hum mohabbat ki zindagi guzarte hain
to maut bhi mahbuba ki tarah hamein milti hai
insan ne har shai ko gadla kiya hai
har qimti aadarsh ko maila kiya hai
har lafz ko be-mani kiya hai
allah ki banai hui chizon ko masKH karne ki koshish ki hai
lekin insan maut ko gadla nahin kar saka
maila nahin kar saka
be-mani nahin kar saka
masKH nahin kar saka
maut se zyaada KHalis shai duniya mein nahin hai
is se zyaada ba-mani shai maujud nahin hai
magar main kyun aisa kah raha hun
mujhe to ek bahut hi KHubsurat zindagi basar karni hai
mohabbat se labrez
raqs karti hui zindagi
jis mein raqqas ghaeb ho jata hai
aur sirf raqs baqi rahta hai
mujhe ek behad lazzat-bhari
rasili zindagi se gale milna hai
taki meri maut bhi KHubsurat ho

(994) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zindagi Maut Ka Aaina written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. Zindagi Maut Ka Aaina is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

Zindagi Maut Ka Aaina is a widely read Urdu Nazam. If you like Zindagi Maut Ka Aaina, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.