Din Phaila Hai, Urdu Nazam By Asghar Nadeem Sayed

Din Phaila Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Asghar Nadeem Sayed. Din Phaila Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Din Phaila Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دن پھیلا ہے

اصغر ندیم سید

بانسری کی دھن سے چاول کی بالی تک

دن پھیلا ہے

اور درانتی والے ہاتھ میں اس کا دامن

جیسے ملاحوں کے ہاتھ میں جال ہو

یا پھر گھوڑ سوار کے ہاتھ میں اس کی راسیں

دن پھیلا ہے

دہی بلونے کی آواز سے جامن کے پیڑوں تک

چوڑیاں پہننے والے ہاتھ میں اس کا دامن

کھنچتے کھنچتے اوڑھنی بن جائے گا

دن پھیلا ہے

آسمان سے بچے کی ننھی مٹھی تک

رفتہ رفتہ دودھ میں ڈھل جائے گا

دن پھیلا ہے

ریل کی آہنی پٹری پر

اور بھاگ رہا ہے چھوٹے شہروں کی منڈی تک

بھاگتے بھاگتے سرخ انار میں ڈھل جائے گا

دن پھیلا ہے

گیندے کے پھولوں میں

میلے بچوں کی خالی جیبوں میں

دن پھیلا ہے

میری تیری آنکھوں میں

جو رفتہ رفتہ مستقبل کی دھن پہ گایا

اجلے پانیوں جیسا کوئی

گیت بنے گا

اصغر ندیم سید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Din Phaila Hai

Asghar Nadeem Sayed

bansuri ki dhun se chawal ki baali tak
din phaila hai
aur daranti wale hath mein us ka daman
jaise mallahon ke hath mein jal ho
ya phir ghoD-sawar ke hath mein us ki rasen
din phaila hai
dahi bilone ki aawaz se jamun ke peDon tak
chuDiyan pahanne wale hath mein us ka daman
khinchte khinchte oDhni ban jaega
din phaila hai
aasman se bachche ki nannhi muTThi tak
rafta rafta dudh mein Dhal jaega
din phaila hai
rail ki aahani paTri par
aur bhag raha hai chhoTe shahron ki manDi tak
bhagte bhagte surKH anar mein Dhal jaega
din phaila hai
gende ke phulon mein
maile bachchon ki KHali jebon mein
din phaila hai
meri teri aankhon mein
jo rafta rafta mustaqbil ki dhun pe gaya
ujle paniyon jaisa koi
git banega

(668) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Din Phaila Hai written by Asghar Nadeem Sayed at UrduPoint. Din Phaila Hai is one of the masterpieces written by Asghar Nadeem Sayed. You can also find the complete poetry collection of Asghar Nadeem Sayed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asghar Nadeem Sayed' above.

Din Phaila Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Din Phaila Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.