Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se, Urdu Ghazal By Ashraf Yousafi

Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ashraf Yousafi. Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھن کے آتی ہے جو یہ روشنی دروازے سے

اشرف یوسفی

چھن کے آتی ہے جو یہ روشنی دروازے سے

کیا مجھے دیکھ رہا ہے کوئی دروازے سے

گھر کی تختی سے ملا آج مجھے اپنا پتہ

اپنے ہونے کی گواہی ملی دروازے سے

میں نے دہلیز سے جانے کی اجازت لے لی

پھر مری بات نہ طے ہو سکی دروازے سے

ایک روزن میں پڑی آنکھ سے کھلنے لگے ہیں

ایک دیوار کے اندر کئی دروازے سے

میں نے اس خواب کو اندر کہیں مسمار کیا

میری آواز نہ باہر گئی دروازے سے

رات بھر سسکیاں لیتا ہے کوئی شخص یہاں

کبھی دیوار سے لگ کر کبھی دروازے سے

خالی کمرہ مرا کس چاپ سے بھر جاتا ہے

آتا جاتا ہی نہیں جب کوئی دروازے سے

ایک خوشبو نے قدم بھول کے باہر رکھا

پھر گلی آنکھ ملانے لگی دروازے سے

روز اک شہر پر اسرار میں کھو جاتا ہوں

وہی گلیاں وہی رستے وہی دروازے سے

تو نے مہتاب نکلتے ہوئے دیکھا ہے کبھی

اور مہتاب بھی ایسے کسی دروازے سے

اشرف یوسفی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se

Ashraf Yousafi

chhan ke aati hai jo ye raushni darwaze se
kya mujhe dekh raha hai koi darwaze se

ghar ki taKHti se mila aaj mujhe apna pata
apne hone ki gawahi mili darwaze se

main ne dahliz se jaane ki ijazat le li
phir meri baat na tai ho saki darwaze se

ek rauzan mein paDi aankh se khulne lage hain
ek diwar ke andar kai darwaze se

main ne is KHwab ko andar kahin mismar kiya
meri aawaz na bahar gai darwaze se

raat bhar siskiyan leta hai koi shaKHs yahan
kabhi diwar se lag kar kabhi darwaze se

KHali kamra mera kis chap se bhar jata hai
aata jata hi nahin jab koi darwaze se

ek KHushbu ne qadam bhul ke bahar rakkha
phir gali aankh milane lagi darwaze se

roz ek shahr-e-pur-asrar mein kho jata hun
wahi galiyan wahi raste wahi darwaze se

tu ne mahtab nikalte hue dekha hai kabhi
aur mahtab bhi aise kisi darwaze se

(649) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se written by Ashraf Yousafi at UrduPoint. Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se is one of the masterpieces written by Ashraf Yousafi. You can also find the complete poetry collection of Ashraf Yousafi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ashraf Yousafi' above.

Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chhan Ke Aati Hai Jo Ye Raushni Darwaze Se, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.