Narm Aawazon Ke Bich, Urdu Nazam By Aslam Emadi

Narm Aawazon Ke Bich is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aslam Emadi. Narm Aawazon Ke Bich comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Narm Aawazon Ke Bich on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نرم آوازوں کے بیچ

اسلم عمادی

نرم آوازوں سے اک نیلی خموشی ہے رواں

یک بہ یک اڑ گئے

وہ کالے پرند

جن کے سایوں سے شعاعوں میں تھی اک بے خوابی

اب وہی خفتہ مزاجی وہی بے حرف خمار

نرم آوازوں کی تھپکی سے

یہ سب ہوش و حواس

اپنے اظہار کے بہتے ہوئے دریا کی جگہ

برف کی جھیل بنے

چیخ جو نغمۂ آزاد سی لہراتی تھی

نغمہ میں غرق ہوئی

وصل کی شب میں وہی شمع بنی

تھرتھراتی ہی رہی

ہونٹ جو تیغۂ اعجاز پہ چسپاں تھے وہ سب

اک صحافی کا قلم بن کے رہے بے معنی

نرم آوازوں کے سیلاب میں اے کاش کبھی

حادثہ ہو کوئی کشتی کسی ساحل سے کہیں ٹکرا جائے

پھیلتی رات کبھی تھرا جائے

اسلم عمادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Narm Aawazon Ke Bich

Aslam Emadi

narm aawazon se ek nili KHamoshi hai rawan
yak-ba-yak uD gae
wo kale parind
jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-KHwabi
ab wahi KHufta-mizaji wahi be-harf KHumar
narm aawazon ki thapki se
ye sab hosh o hawas
apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah
barf ki jhil bane

chiKH jo naghma-e-azad si lahraati thi
naghme mein gharq hui
wasl ki shab mein wahi shama bani
thartharaati hi rahi
honT jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab
ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani

narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi
hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin Takra jae
phailti raat kabhi tharra jae

(809) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Narm Aawazon Ke Bich written by Aslam Emadi at UrduPoint. Narm Aawazon Ke Bich is one of the masterpieces written by Aslam Emadi. You can also find the complete poetry collection of Aslam Emadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aslam Emadi' above.

Narm Aawazon Ke Bich is a widely read Urdu Nazam. If you like Narm Aawazon Ke Bich, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.