Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha, Urdu Ghazal By Asrarul Haq Asrar

Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Asrarul Haq Asrar. Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جانتے تھے غم ترا دریا بھی تھا گہرا بھی تھا

اسرارالحق اسرار

جانتے تھے غم ترا دریا بھی تھا گہرا بھی تھا

ڈوبنے سے پیشتر سوچا بھی تھا سمجھا بھی تھا

آئنہ اے کاش تو اپنا بنا لیتا مجھے

فائدہ اس میں بہت تیرا بھی تھا میرا بھی تھا

اک عذاب جان تھی اس کی تنک خوئی مگر

ذائقہ اس درد کا میٹھا بھی تھا تیکھا بھی تھا

کیسے پڑھ لیتا میں اس چہرہ سے اپنا حال دل

وہ رخ جگنو صفت جلتا بھی تھا بجھتا بھی تھا

یوں کیا ہے مدتوں میں نے غزل کا مشغلہ

ایک تیرے نام کو لکھتا بھی تھا پڑھتا بھی تھا

دل کی راہوں میں بہ ہر صورت رہی اک روشنی

چاند تیرے درد کا بڑھتا بھی تھا گھٹتا بھی تھا

ہم نے تیرے عکس کو تقسیم کب ہونے دیا

آئنہ تو بارہا ٹوٹا بھی تھا بکھرا بھی تھا

جب وہ رخصت ہو گئے ہم سے تو یاد آیا ہمیں

ان سے اے اسرارؔ کچھ کہنا بھی تھا سننا بھی تھا

اسرارالحق اسرار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha

Asrarul Haq Asrar

jaante the gham tera dariya bhi tha gahra bhi tha
Dubne se peshtar socha bhi tha samjha bhi tha

aaina ai kash tu apna bana leta mujhe
faeda is mein bahut tera bhi tha mera bhi tha

ek azab-e-jaan thi us ki tunak-KHui magar
zaiqa us dard ka miTha bhi tha tikha bhi tha

kaise paDh leta main us chehre se apna haal-e-dil
wo ruKH-e-jugnu-sifat jalta bhi tha bujhta bhi tha

yun kiya hai muddaton main ne ghazal ka mashghala
ek tere nam ko likhta bhi tha paDhta bhi tha

dil ki rahon mein ba-har-surat rahi ek raushni
chand tere dard ka baDhta bhi tha ghaTta bhi tha

hum ne tere aks ko taqsim kab hone diya
aaina to barha TuTa bhi tha bikhra bhi tha

jab wo ruKHsat ho gae hum se to yaad aaya hamein
un se ai 'asrar' kuchh kahna bhi tha sunna bhi tha

(754) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha written by Asrarul Haq Asrar at UrduPoint. Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha is one of the masterpieces written by Asrarul Haq Asrar. You can also find the complete poetry collection of Asrarul Haq Asrar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Asrarul Haq Asrar' above.

Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.