Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi, Urdu Ghazal By Azad Sahiri

Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azad Sahiri. Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ حقیقت مجاز ہے پھر بھی

آزاد ساحری

یہ حقیقت مجاز ہے پھر بھی

جانے کیوں دل گداز ہے پھر بھی

وقت کے ہاتھ مات کھائی ہے

عقل پر اپنی ناز ہے پھر بھی

رات دن جھوٹ لوٹ مکر و فریب

پنج وقتہ نماز ہے پھر بھی

چھیڑ کرتا ہے مہ جبینوں سے

آدمی پاکباز ہے پھر بھی

ہم فقط دو قدم سمجھتے ہیں

گرچہ منزل دراز ہے پھر بھی

گو نہیں کوئی مائل توبہ

در توبہ تو باز ہے پھر بھی

کام آزادؔ کیوں نہیں بنتے

وہ بڑا کار ساز ہے پھر بھی

آزاد ساحری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi

Azad Sahiri

ye haqiqat majaz hai phir bhi
jaane kyon dil-gudaz hai phir bhi

waqt ke hath mat khai hai
aql par apni naz hai phir bhi

raat din jhuT luT makr-o-fareb
panj-waqta namaz hai phir bhi

chheD karta hai mah-jabinon se
aadmi pak-baz hai phir bhi

hum faqat do qadam samajhte hain
garche manzil daraaz hai phir bhi

go nahin koi mail-e-tauba
dar-e-tauba to baz hai phir bhi

kaam 'azad' kyon nahin bante
wo baDa kar-saz hai phir bhi

(517) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi written by Azad Sahiri at UrduPoint. Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi is one of the masterpieces written by Azad Sahiri. You can also find the complete poetry collection of Azad Sahiri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azad Sahiri' above.

Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Haqiqat Majaz Hai Phir Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.