Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai, Urdu Ghazal By Azhar Inayati

Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Azhar Inayati. Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس حادثے کو دیکھ کے آنکھوں میں درد ہے

اظہر عنایتی

اس حادثے کو دیکھ کے آنکھوں میں درد ہے

اپنی جبیں پہ اپنے ہی قدموں کی گرد ہے

آ تھوڑی دیر بیٹھ کے باتیں کریں یہاں

تیرے تو یار لہجے میں اپنا سا درد ہے

کیا ہو گئیں نہ جانے تری گرم جوشیاں

موسم سے آج ہاتھ سوا تیرا سرد ہے

تاریخ بھی ہوں اتنے برس کی مورخو

چہرے پہ میرے جتنے برس کی یہ گرد ہے

اے رات تیرے چاند ستاروں میں وہ کہاں

بجھتے ہوئے چراغ کی لو میں جو درد ہے

اظہرؔ جو قتل ہو گیا وہ بھائی تھا مگر

قاتل بھی میرے اپنے قبیلے کا فرد ہے

اظہر عنایتی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai

Azhar Inayati

is hadse ko dekh ke aankhon mein dard hai
apni jabin pe apne hi qadmon ki gard hai

aa thoDi der baiTh ke baaten karen yahan
tere to yar lahje mein apna sa dard hai

kya ho gain na jaane teri garm-joshiyan
mausam se aaj hath siwa tera sard hai

tariKH bhi hun utne baras ki moarriKHo
chehre pe mere jitne baras ki ye gard hai

ai raat tere chand sitaron mein wo kahan
bujhte hue charagh ki lau mein jo dard hai

'azhar' jo qatl ho gaya wo bhai tha magar
qatil bhi mere apne qabile ka fard hai

(523) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai written by Azhar Inayati at UrduPoint. Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai is one of the masterpieces written by Azhar Inayati. You can also find the complete poetry collection of Azhar Inayati by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Azhar Inayati' above.

Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Hadse Ko Dekh Ke Aankhon Mein Dard Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.