Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye, Urdu Ghazal By Aziz Lakhnavi

Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aziz Lakhnavi. Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جیتے ہیں کیسے ایسی مثالوں کو دیکھیے

عزیز لکھنوی

جیتے ہیں کیسے ایسی مثالوں کو دیکھیے

پردہ اٹھا کے چاہنے والوں کو دیکھیے

کیا دل جگر ہے چاہنے والوں کو دیکھیے

میرے سکوت اپنے سوالوں کو دیکھیے

اب بھی ہیں ایسے لوگ کہ جن سے سبق ملے

دل مردہ ہے تو زندہ مثالوں کو دیکھیے

کیا دیکھتے ہیں آپ بہار نمو ابھی

جب ایڑیاں تک آئیں تو بالوں کو دیکھیے

طبقے زمین کے ہوں کہ اوراق آسماں

قدرت کے دل فریب رسالوں کو دیکھیے

ہمت کو دیکھیے کہ وہی مرد کار ہے

فوجوں کو دیکھیے نہ رسالوں کو دیکھیے

تقلید کیوں خیال و زباں میں کسی کی ہو

اپنے خیال اپنے مقالوں کو دیکھیے

دشمن پہ بھی نگاہ رہے عیب میں ہے وہ

یہ کیا کہ صرف چاہنے والوں کو دیکھیے

ہو سرسری نہ گور غریباں پہ اک نظر

ان کے دماغ ان کے خیالوں کو دیکھیے

ساقی کی چشم مست کا نظارہ کیجیئے

صہبا کو دیکھیے نہ پیالوں کو دیکھیے

دل دیکھیے کہ تکملۂ شوق ہو عزیزؔ

مسجد کو دیکھیے نہ شوالوں کو دیکھیے

عزیز لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye

Aziz Lakhnavi

jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye
parda uTha ke chahne walon ko dekhiye

kya dil jigar hai chahne walon ko dekhiye
mere sukut apne sawalon ko dekhiye

ab bhi hain aise log ki jin se sabaq mile
dil murda hai to zinda misalon ko dekhiye

kya dekhte hain aap bahaar-e-numu abhi
jab eDiyan tak aaen to baalon ko dekhiye

tabqe zamin ke hon ki auraq-e-asman
qudrat ke dil-fareb risalon ko dekhiye

himmat ko dekhiye ki wahi mard-e-kar hai
faujon ko dekhiye na risalon ko dekhiye

taqlid kyun KHayal-o-zaban mein kisi ki ho
apne KHayal apne maqalon ko dekhiye

dushman pe bhi nigah rahe aib mein hai wo
ye kya ki sirf chahne walon ko dekhiye

ho sarsari na gor-e-ghariban pe ek nazar
un ke dimagh un ke KHayalon ko dekhiye

saqi ki chashm-e-mast ka nazzara kijiye
sahba ko dekhiye na piyalon ko dekhiye

dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'aziz'
masjid ko dekhiye na shiwalon ko dekhiye

(494) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye written by Aziz Lakhnavi at UrduPoint. Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye is one of the masterpieces written by Aziz Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Lakhnavi' above.

Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jite Hain Kaise Aisi Misalon Ko Dekhiye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.