Makan Khaali Hai, Urdu Nazam By Aziz Qaisi

Makan Khaali Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Aziz Qaisi. Makan Khaali Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Makan Khaali Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مکان خالی ہے

عزیز قیسی

وہ جا چکا ہے ہمیں نے اسے نکالا ہے

یہ کیا ہوا کہ اک اک چیز اٹھ گئی اس کی

وہ ایک کونے میں رہتا تھا پر گیا جب سے

ہر ایک کونے میں رہتا دکھائی دیتا ہے

چمک رہی ہیں در و بام اس کی تحریریں

ٹہل رہی ہیں صدائیں یہاں وہاں اس کی

کہیں پہ نقش ہے اس کی نگاہ کا پرتو

کھدی ہوئی ہے کہیں اس کے پاؤں کی آہٹ

بسا ہوا ہے وہ دیوار و در کے سینے میں

بکھر چکا ہے یہاں کے ہر ایک ذرے میں

عجیب طرح سے آباد ہے یہ ویرانی

گلا دباتا ہے آسیب دم الٹتا ہے

یہ واہمہ ہے

یہی آگہی تو آ جائے

خدا نہیں نہ سہی آدمی تو آ جائے

مکان خالی ہے کب سے کوئی تو آ جائے

عزیز قیسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Makan Khaali Hai

Aziz Qaisi

wo ja chuka hai hamin ne use nikala hai
ye kya hua ki ek ek chiz uTh gai us ki
wo ek kone mein rahta tha par gaya jab se
har ek kone mein rahta dikhai deta hai
chamak rahi hain dar-o-baam us ki tahriren
Tahal rahi hain sadaen yahan-wahan us ki
kahin pe naqsh hai us ki nigah ka partaw
khudi hui hai kahin us ke panw ki aahaT
basa hua hai wo diwar-o-dar ke sine mein
bikhar chuka hai yahan ke har ek zarre mein
ajib tarah se aabaad hai ye virani

gala dabaata hai aaseb dam ulaTta hai
ye wahima hai
yahi aagahi to aa jae
KHuda nahin na sahi aadmi to aa jae
makan KHali hai kab se koi to aa jae

(747) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Makan Khaali Hai written by Aziz Qaisi at UrduPoint. Makan Khaali Hai is one of the masterpieces written by Aziz Qaisi. You can also find the complete poetry collection of Aziz Qaisi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aziz Qaisi' above.

Makan Khaali Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Makan Khaali Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.