Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna, Urdu Ghazal By Bishan Dayal Shad Dehlvi

Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bishan Dayal Shad Dehlvi. Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کس نے جلوہ دکھا کے آنکھوں میں کر لیا ہے مقام اپنا

بشن دیال شاد دہلوی

یہ کس نے جلوہ دکھا کے آنکھوں میں کر لیا ہے مقام اپنا

یہ کس کو اپنا بنا کے برہم کیا ہے دل نے نظام اپنا

یہ کس کی باتوں میں آ کے ہم نے کیا ہے بدنام نام اپنا

کہ آج تک آگہی سے عاجز ہے جذبۂ ناتمام اپنا

اگر تمنائے بے خودی کی زباں سے سن لیں پیام اپنا

تو عارض حسن سے الٹ دیں نقاب وہ لا کلام اپنا

نگاہ ساقی سے کہہ رہا ہوں سزا توجہ کی سہ رہا ہوں

شراب رحمت کے دور میں بھی کرم سے خالی ہے جام اپنا

جہاں میں ہیں خوش نصیب اکثر ہے جن پہ لطف نظر سراسر

اگر مقابل ہوں کیا عجب ہے مجھے بھی کر لیں غلام اپنا

نشانۂ حسن ہو رہا ہے فراق میں عمر کھو رہا ہے

نظر سے فرصت ملے تو دل بھی کرے کوئی انتظام اپنا

ہے منظر بزم شادؔ او راحت بہ قلب مسرور عین نعمت

مذاق شعر و سخن ہے اہل ادب میں ہے احترام اپنا

بشن دیال شاد دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna

Bishan Dayal Shad Dehlvi

ye kis ne jalwa dikha ke aankhon mein kar liya hai maqam apna
ye kis ko apna bana ke barham kiya hai dil ne nizam apna

ye kis ki baaton mein aa ke hum ne kiya hai badnam nam apna
ki aaj tak aagahi se aajiz hai jazba-e-na-tamam apna

agar tamanna-e-be-KHudi ki zaban se sun len payam apna
to aariz-e-husn se ulaT den naqab wo la-kalam apna

nigah-e-saqi se kah raha hun saza tawajjoh ki sah raha hun
sharab-e-rahmat ke daur mein bhi karam se KHali hai jam apna

jahan mein hain KHush-nasib aksar hai jin pe lutf-e-nazar sarasar
agar muqabil hun kya ajab hai mujhe bhi kar len ghulam apna

nishana-e-husn ho raha hai firaq mein umr kho raha hai
nazar se fursat mile to dil bhi kare koi intizam apna

hai manzar-e-bazm 'shad' o rahat ba-qalb-e-masrur ain neamat
mazaq-e-sher-o-suKHan hai ahl-e-adab mein hai ehtiram apna

(442) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna written by Bishan Dayal Shad Dehlvi at UrduPoint. Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna is one of the masterpieces written by Bishan Dayal Shad Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Bishan Dayal Shad Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bishan Dayal Shad Dehlvi' above.

Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kis Ne Jalwa Dikha Ke Aankhon Mein Kar Liya Hai Maqam Apna, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.