Main Jab KHud Se BichhaDti Hun, Urdu Nazam By Bushra Ejaz

Main Jab KHud Se BichhaDti Hun is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Bushra Ejaz. Main Jab KHud Se BichhaDti Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Main Jab KHud Se BichhaDti Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں جب خود سے بچھڑتی ہوں

بشریٰ اعجاز

مری پلکوں پہ تابندہ

تری آنکھوں کے آنسو

مجھے تاریک راتوں میں

نئے رستے سجھاتے ہیں

وجودی واہموں کی سر زمینوں پر

میں جب خود سے بچھڑتی ہوں

چمکتی ریت کے ذروں کی صورت

جب بکھرتی ہوں

مجھے وہ اپنے نم سے جوڑ دیتے ہیں

مجھے خود سے ملاتے ہیں

میں جب دن کی بہت لمبی مسافت میں

اداسی کی تھکن سے چور ہوتی ہوں

اکیلے پن کی وحشت میں

بہت مجبور ہوتی ہوں

تو گہری ہانپتی شاموں کی دہلیزوں سے

وہ اکثر مجھے دھیرے سے

ماں! کہہ کر بلاتے ہیں

تری آنکھوں کے آنسو

مجھے کیسے انوکھے سلسلوں سے

جا ملاتے ہیں!!

بشریٰ اعجاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Jab KHud Se BichhaDti Hun

Bushra Ejaz

meri palkon pe tabinda
teri aankhon ke aansu
mujhe tarik raaton mein
nae raste sujhate hain
wajudi wahimon ki sar-zaminon par
main jab KHud se bichhaDti hun
chamakti ret ke zarron ki surat
jab bikharti hun
mujhe wo apne nam se joD dete hain
mujhe KHud se milate hain
main jab din ki bahut lambi masafat mein
udasi ki thakan se chur hoti hun
akele-pan ki wahshat mein
bahut majbur hoti hun
to gahri hanpti shamon ki dahlizon se
wo akasr mujhe dhire se
man! kah kar bulate hain
teri aankhon ke aansu
mujhe kaise anokhe silsilon se
ja milate hain!!

(795) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Jab KHud Se BichhaDti Hun written by Bushra Ejaz at UrduPoint. Main Jab KHud Se BichhaDti Hun is one of the masterpieces written by Bushra Ejaz. You can also find the complete poetry collection of Bushra Ejaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bushra Ejaz' above.

Main Jab KHud Se BichhaDti Hun is a widely read Urdu Nazam. If you like Main Jab KHud Se BichhaDti Hun, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.