Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main, Urdu Ghazal By Chandrabhan Khayal

Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Chandrabhan Khayal. Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صرف اک حد نظر کو آسماں سمجھا تھا میں

چندر بھان خیال

صرف اک حد نظر کو آسماں سمجھا تھا میں

آسمانوں کی حقیقت کو کہاں سمجھا تھا میں

خود ملا اور مل کے وہ اپنا پتہ بھی دے گیا

جبکہ ساری کاوشوں کو رائیگاں سمجھا تھا میں

زندگی کا رنگ پہچانا گیا جینے کے بعد

دور سے اس رنگ کو اڑتا دھواں سمجھا تھا میں

مہربانوں سے ہمیشہ ہی رہے شکوے گلے

اور ہر نا مہرباں کو مہرباں سمجھا تھا میں

دے رہا تھا وہ صدائیں اور میں خاموش تھا

کشمکش کی اس گھڑی کو امتحاں سمجھا تھا میں

ہو گیا ہوں قتل بے رحمی سے ان کے سامنے

حیف جن لوگوں کو اپنا پاسباں سمجھا تھا میں

پاس سے دیکھا تو جانا کس قدر مغموم ہیں

ان گنت چہرے کہ جن کو شادماں سمجھا تھا میں

چندر بھان خیال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main

Chandrabhan Khayal

sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main
aasmanon ki haqiqat ko kahan samjha tha main

KHud mila aur mil ke wo apna pata bhi de gaya
jabki sari kawishon ko raegan samjha tha main

zindagi ka rang pahchana gaya jine ke baad
dur se us rang ko uDta dhuan samjha tha main

mehrbanon se hamesha hi rahe shikwe gale
aur har na-mehrban ko mehrban samjha tha main

de raha tha wo sadaen aur main KHamosh tha
kashmakash ki us ghaDi ko imtihan samjha tha main

ho gaya hun qatl be-rahmi se un ke samne
haif jin logon ko apna pasban samjha tha main

pas se dekha to jaana kis qadar maghmum hain
an-ginat chehre ki jin ko shadman samjha tha main

(764) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main written by Chandrabhan Khayal at UrduPoint. Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main is one of the masterpieces written by Chandrabhan Khayal. You can also find the complete poetry collection of Chandrabhan Khayal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Chandrabhan Khayal' above.

Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sirf Ek Hadd-e-nazar Ko Aasman Samjha Tha Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.