ChhoTe Qad Ke Log, Urdu Nazam By Ehtisham Akhtar

ChhoTe Qad Ke Log is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ehtisham Akhtar. ChhoTe Qad Ke Log comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read ChhoTe Qad Ke Log on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھوٹے قد کے لوگ

احتشام اختر

بلند بانگ دعووں کی

آوازیں

کھوٹے سکوں کی طرح

بجتی ہیں

پھر بھی چھوٹے قد کے لوگ

ان قد آور آوازوں کو

سنتے رہتے ہیں

کاغذ کے ٹکڑوں کی

اب کوئی قیمت نہ رہی

پھر بھی بھوکی آنکھیں

انہیں ڈھونڈھتی ہیں

اور ناکام رہتی ہیں

اور بے رحم ہاتھ

انہیں جمع کرتے رہتے ہیں

چھوٹے قد کے لوگ

اپنی آواز کھو چکے ہیں

وہ صرف دیکھ سکتے ہیں

اور سن سکتے ہیں

احتشام اختر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChhoTe Qad Ke Log

Ehtisham Akhtar

buland bang dawon ki
aawazen
khoTe sikkon ki tarah
bajti hain
phir bhi chhoTe qad ke log
in qad-awar aawazon ko
sunte rahte hain
kaghaz ke TukDon ki
ab koi qimat na rahi
phir bhi bhuki aankhen
unhen DhunDhti hain
aur nakaam rahti hain
aur be-rahm hath
unhen jama karte rahte hain
chhoTe qad ke log
apni aawaz kho chuke hain
wo sirf dekh sakte hain
aur sun sakte hain

(655) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ChhoTe Qad Ke Log written by Ehtisham Akhtar at UrduPoint. ChhoTe Qad Ke Log is one of the masterpieces written by Ehtisham Akhtar. You can also find the complete poetry collection of Ehtisham Akhtar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ehtisham Akhtar' above.

ChhoTe Qad Ke Log is a widely read Urdu Nazam. If you like ChhoTe Qad Ke Log, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.