Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai, Urdu Ghazal By Ejaz Ansari

Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ejaz Ansari. Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم حیات کا منظر بدلنے والا ہے

اعجاز انصاری

غم حیات کا منظر بدلنے والا ہے

خوشی مناؤ کہ سورج نکلنے والا ہے

وہ شخص جس نے ہمیشہ خلوص بانٹا تھا

ذرا سی بات پہ تیور بدلنے والا ہے

غرور ہونے لگا اس کو اپنی شہرت پر

یہ اژدہا اسے زندہ نگلنے والا ہے

سنبھالو اپنے سفینے خود اپنے ہاتھوں میں

سنا ہے آج سمندر مچلنے والا ہے

وقار علم و ہنر کم نہ ہو کہیں اعجازؔ

یہی چراغ ہواؤں میں جلنے والا ہے

اعجاز انصاری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai

Ejaz Ansari

gham-e-hayat ka manzar badalne wala hai
KHushi manao ki suraj nikalne wala hai

wo shaKHs jis ne hamesha KHulus banTa tha
zara si baat pe tewar badalne wala hai

ghurur hone laga us ko apni shohrat par
ye azhdaha ise zinda nigalne wala hai

sambhaalo apne safine KHud apne hathon mein
suna hai aaj samundar machalne wala hai

waqar-e-ilm-o-hunar kam na ho kahin 'ejaz'
yahi charagh hawaon mein jalne wala hai

(798) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai written by Ejaz Ansari at UrduPoint. Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai is one of the masterpieces written by Ejaz Ansari. You can also find the complete poetry collection of Ejaz Ansari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ejaz Ansari' above.

Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham-e-hayat Ka Manzar Badalne Wala Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.