Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin, Urdu Ghazal By Faheem Gorakhpuri

Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheem Gorakhpuri. Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

امید وصل اس سے خدا کی قسم نہیں

فہیم گورکھپوری

امید وصل اس سے خدا کی قسم نہیں

کہتے ہیں عرض بوسہ پہ وہ دم بہ دم نہیں

اس کا طواف کرتے ہیں عشاق روز و شب

کوئے صنم بھی رتبے میں کعبہ سے کم نہیں

میرے سوال وصل کو للہ رد نہ کر

دیکھ اے صنم یہ شیوۂ اہل کرم نہیں

حوروں کا تجھ میں حسن ہے پریوں کی شوخیاں

اے بت قسم خدا کی کسی سے تو کم نہیں

یاں درد دل سے مجھ کو نہیں چین اب گھڑی

ان کو قرار شوخیوں سے ایک دم نہیں

نازاں ہوں اپنے بخت سیہ پر نہ کس طرح

یہ تیرگی میں یار کی زلفوں سے کم نہیں

آنکھیں جو رونے میں تو تڑپنے میں دل ہے فرد

وہ ابر سے تو یہ کسی بجلی سے کم نہیں

اپنے لیے میں ان سے رکھوں اب امید کیا

سنتا ہوں مرگ غیر کا کچھ ان کو غم نہیں

تم امتحان غیر کبھی کرکے دیکھ لو

راہ وفا میں وہ کبھی ثابت قدم نہیں

جو کام ان کے لب سے وہ تیرے قدم سے ہو

ٹھوکر بھی تیری کچھ قم عیسیٰ سے کم نہیں

کس دم نہیں ہے یار کی تیغ نگہ کی یاد

کس وقت میرے قتل کا ساماں بہم نہیں

ہم بے وفائیاں نہ کریں گے عدو کی طرح

تم کو وہی خیال عبث ہے وہ ہم نہیں

اپنی وفا کا ذکر حسینوں میں رہ گیا

دنیا میں نام آج ہمارا ہے ہم نہیں

آنکھیں جو روئیں ہجر میں اک حشر ہو بپا

یہ دو حباب نوح کے طوفاں سے کم نہیں

ممنون ہوں خدا کی عنایت کا اے فہیمؔ

راحت کا میرے کون سا ساماں بہم نہیں

فہیم گورکھپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin

Faheem Gorakhpuri

ummid-e-wasl us se KHuda ki qasam nahin
kahte hain arz-e-bosa pe wo dam-ba-dam nahin

us ka tawaf karte hain ushshaq-e-roz-o-shab
ku-e-sanam bhi rutbe mein kabe se kam nahin

mere sawal-e-wasl ko lillah rad na kar
dekh ai sanam ye shewa-e-ahl-e-karam nahin

huron ka tujh mein husn hai pariyon ki shoKHiyan
ai but qasam KHuda ki kisi se tu kam nahin

yan dard-e-dil se mujh ko nahin chain ab ghaDi
un ko qarar shoKHiyon se ek dam nahin

nazan hon apne baKHt-e-siyah par na kis tarah
ye tirgi mein yar ki zulfon se kam nahin

aankhen jo rone mein to taDapne mein dil hai fard
wo abr se to ye kisi bijli se kam nahin

apne liye main un se rakhun ab umid kya
sunta hun marg-e-ghair ka kuchh un ko gham nahin

tum imtihan-e-ghair kabhi karke dekh lo
rah-e-wafa mein wo kabhi sabit-qadam nahin

jo kaam un ke lab se wo tere qadam se ho
Thokar bhi teri kuchh qum-e-isa se kam nahin

kis dam nahin hai yar ki tegh-e-nigah ki yaad
kis waqt mere qatl ka saman baham nahin

hum bewafaiyan na karenge adu ki tarah
tum ko wahi KHayal abas hai wo hum nahin

apni wafa ka zikr hasinon mein rah gaya
duniya mein nam aaj hamara hai hum nahin

aankhen jo roin hijr mein ek hashr ho bapa
ye do habab nuh ke tufan se kam nahin

mamnun hun KHuda ki inayat ka ai 'fahim'
rahat ka mere kaun sa saman baham nahin

(547) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin written by Faheem Gorakhpuri at UrduPoint. Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin is one of the masterpieces written by Faheem Gorakhpuri. You can also find the complete poetry collection of Faheem Gorakhpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheem Gorakhpuri' above.

Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ummid-e-wasl Us Se KHuda Ki Qasam Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.