Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin, Urdu Ghazal By Faheem Gorakhpuri

Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheem Gorakhpuri. Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہاں جھوٹ ہے وہ جان سے تم پر فدا نہیں

فہیم گورکھپوری

ہاں جھوٹ ہے وہ جان سے تم پر فدا نہیں

سچ کہہ رہے ہو غیر کا یہ حوصلہ نہیں

یاد بتاں نہیں کہ خیال خدا نہیں

سب کچھ بشر کے دل میں ہے اے شیخ کیا نہیں

واقف نہیں ہو تم ابھی حال رقیب سے

میں نے برا کہا جو اسے کیا برا نہیں

ٹھہرے رہو کہ بات ہی ہوگی تمام رات

ڈرتے ہو کیوں کچھ اور مرا مدعا نہیں

بھولی بہشت میں بھی نہ انگور کی مجھے

جب پی مئے طہور کہا وہ مزا نہیں

پوری نہ کر جو وصل کی خواہش تو قتل کر

کیا تیری طرح تیغ بھی حاجت روا نہیں

اک میں ہوں اپنے دل میں تجھے دیکھتا ہوں روز

اک تو ہے مڑ کے میری طرف دیکھتا نہیں

پہلے تو اس نے وصل کا اقرار کر لیا

پھر تھوڑی دیر سوچ کے کہنے لگا نہیں

او سونے والے سونے نہ دے گی تجھے کبھی

یہ میری آہ گرم ہے باد صبا نہیں

جاؤ نہ مدعی کی ملاقات کے لیے

تم آؤ یا نہ آؤ یہ مطلب مرا نہیں

اے دل کدھر ہے کوچۂ گیسو سے دے صدا

ڈھونڈھوں کہاں اندھیرے میں کچھ سوجھتا نہیں

سائے کا بھی پتہ نہیں وہ آئے اس طرح

سجدے کہاں کروں کہ کہیں نقش پا نہیں

ثابت ہے جرم عشق تو دعوئ عشق سے

ہم کس طرح کہیں کہ ہماری خطا نہیں

برسات میں بھی تم کبھی پیتے نہیں فہیمؔ

ایسا بھی اب پسند مجھے اتقا نہیں

فہیم گورکھپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin

Faheem Gorakhpuri

han jhuT hai wo jaan se tum par fida nahin
sach kah rahe ho ghair ka ye hausla nahin

yaad-e-butan nahin ki KHayal-e-KHuda nahin
sab kuchh bashar ke dil mein hai ai shaiKH kya nahin

waqif nahin ho tum abhi haal-e-raqib se
main ne bura kaha jo use kya bura nahin

Thahre raho ki baat hi hogi tamam raat
Darte ho kyon kuchh aur mera muddaa nahin

bhuli bahisht mein bhi na angur ki mujhe
jab pi mai-e-tahur kaha wo maza nahin

puri na kar jo wasl ki KHwahish to qatl kar
kya teri tarah tegh bhi hajat-rawa nahin

ek main hun apne dil mein tujhe dekhta hun roz
ek tu hai muD ke meri taraf dekhta nahin

pahle to us ne wasl ka iqrar kar liya
phir thoDi der soch ke kahne laga nahin

o sone wale sone na degi tujhe kabhi
ye meri aah-e-garm hai baad-e-saba nahin

jao na muddai ki mulaqat ke liye
tum aao ya na aao ye matlab mera nahin

ai dil kidhar hai kucha-e-gesu se de sada
DhunDhun kahan andhere mein kuchh sujhta nahin

sae ka bhi pata nahin wo aae is tarah
sajde kahan karun ki kahin naqsh-e-pa nahin

sabit hai jurm-e-ishq to dawa-e-ishq se
hum kis tarah kahen ki hamari KHata nahin

barsat mein bhi tum kabhi pite nahin 'fahim'
aisa bhi ab pasand mujhe ittiqa nahin

(621) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin written by Faheem Gorakhpuri at UrduPoint. Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin is one of the masterpieces written by Faheem Gorakhpuri. You can also find the complete poetry collection of Faheem Gorakhpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheem Gorakhpuri' above.

Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Han JhuT Hai Wo Jaan Se Tum Par Fida Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.