Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein, Urdu Nazam By Farooq Shakeel

Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Farooq Shakeel. Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خالق گل تر کی یاد میں

فاروق شکیل

دوستو آج مخدوم ہم میں نہیں

ہاں وہی تھا جو اک نامور رہنما

جو غریبوں کا ہمدرد تھا

اور محنت کشوں سے جسے پیار تھا

ہاں وہی جو پسندیدہ شاعر بھی تھا

جس کی نظموں میں تھا فکر کا بانکپن

جس کی غزلیں تغزل سے بھرپور تھیں

جس کو مشرق میں شہرت ملی

جس کو مغرب میں عزت ملی

جس کو اپنے وطن میں محبت ملی

مسجدوں نے صدا دی جسے

مندروں نے دعا دی جسے

محفل شعر تھی جس کے دم سے جواں

لے رہی تھی نیا موڑ اردو زباں

یک بیک حشر سا اک بپا ہو گیا

اور مخدوم ہم سے جدا ہو گیا

مٹ گیا ایک دور اک صدی لٹ گئی

آج مخدوم ہم میں نہیں دوستو

اب کہاں آئے گی بات مخدوم کی

ہے سویرا مگر اس میں سرخی نہیں

ہے گلستاں مگر وہ گل تر نہیں

اب سہارا ہے اک یاد مخدوم کا

آؤ سب ساتھ مل کر چلیں دوستو

اک چنبیلی کے منڈوے تلے

میکدے سے ذرا دور اس موڑ پر

بیٹھ کر دیر تک یاد مخدوم میں

آنسوؤں کا منائیں گے اک جشن ہم

فاروق شکیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein

Farooq Shakeel

dosto aaj maKHdum hum mein nahin
han wahi tha jo ek namwar rahnuma
jo gharibon ka hamdard tha
aur mehnat-kashon se jise pyar tha
han wahi jo pasandida shair bhi tha
jis ki nazmon mein tha fikr ka bankpan
jis ki ghazlen taghazzul se bharpur thin
jis ko mashriq mein shohrat mili
jis ko maghrib mein izzat mili
jis ko apne watan mein mohabbat mili
masjidon ne sada di jise
mandiron ne dua di jise
mahfil-e-sher thi jis ke dam se jawan
le rahi thi naya moD urdu zaban
yak-ba-yak hashr sa ek bapa ho gaya
aur maKHdum hum se juda ho gaya
miT gaya ek daur ek sadi luT gai
aaj maKHdum hum mein nahin dosto
ab kahan aaegi baat maKHdum ki
hai sawera magar is mein surKHi nahin
hai gulistan magar wo gul-e-tar nahin
ab sahaara hai ek yaad-e-maKHdum ka
aao sab sath mil kar chalen dosto
ek chanbeli ke manDwe tale
mai-kade se zara dur us moD par
baiTh kar der tak yaad-e-maKHdum mein
aansuon ka manaenge ek jashn hum

(379) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein written by Farooq Shakeel at UrduPoint. Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein is one of the masterpieces written by Farooq Shakeel. You can also find the complete poetry collection of Farooq Shakeel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Farooq Shakeel' above.

Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Khaaliq-e-gul-e-tar Ki Yaad Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.