Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai, Urdu Nazam By Firoz Natiq Khusro

Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Firoz Natiq Khusro. Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیر‌ سویر تو ویسے بھی ہو جاتی ہے

فیروز ناطق خسرو

چاندنی راتوں کے رسیا

اس رات بھی اس کی راہیں

دیکھ رہے تھے

مدہوشی میں ناچ رہے تھے

وقت کی مدھم ہوتی لو سے

ٹھنڈے ہوتے جسموں کو اب

سینک رہے تھے

چاند اس رات بھی کافی دیر سے نکلا تھا

پچھلی کچھ راتوں سے اکثر

چاند کو دیر ہو جاتی تھی

چاند کا رستہ تکتے تکتے

چاند سے چہرے والی بچی

روتے روتے سو جاتی تھی

چاند کو بھی احساس تھا اس کا

دیر سویر تو ویسے بھی ہو جاتی ہے

کوئی سبب تو ہوتا ہوگا

لیکن اپنی دھن میں رقصاں

لوگوں نے کب سوچا ہوگا

اور کسی نے اس بارے میں سوچا ہوگا

تو اس نے اس پاگل پن پر

ہنس کر

کاک اڑایا ہوگا

تازہ پیگ اٹھایا ہوگا

دیر سویر تو ویسے بھی ہو جاتی ہے

لیکن چاند کو

اور کہیں سے بھی تو ہو کر آنا تھا

کچھ راتوں سے

سات سمندر پار جزیرے کے ٹیلے پر بیٹھی

تنہا اک معصوم سی لڑکی

دیر تلک بس اس کو تکتی رہتی ہے

تکتے تکتے رو دیتی ہے

جانے کیسا روگ لگا بیٹھی ہے

چاند اب روز ہی اس بستی سے گزرا کرتا

اس کو تکتا رہتا

لیکن آخر کب تک

اس کو اور بھی آگے جانا ہوتا تھا

اس کا رستہ دیکھنے والوں میں

وہ بچی بھی تو شامل تھی

جو روتے روتے سو جاتی تھی

اور وہ سب جو چاندنی راتوں کے رسیا تھے

ان کے چہرے بھی جانے پہچانے تھے

چاندنی راتوں کے رسیا

اس رات بھی

اس کا رستہ دیکھ رہے تھے

لیکن چاند کو اس لڑکی کی بستی بھی تو جانا تھا

وہ لڑکی جو چاند کے اندر اپنے ہی محبوب کا چہرا تکتی ہے

چاند کو لیکن کچھ راتوں سے وہ لڑکی اب اپنی اپنی لگتی ہے

دیر سویر تو ویسے بھی ہو جاتی ہے

فیروز ناطق خسرو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai

Firoz Natiq Khusro

chandni-raaton ke rasiya
us raat bhi us ki rahen
dekh rahe the
mad-hoshi mein nach rahe the
waqt ki maddham hoti lau se
ThanDe hote jismon ko ab
senk rahe the
chand us raat bhi kafi der se nikla tha

pichhli kuchh raaton se aksar
chand ko der ho jati thi
chand ka rasta takte takte
chand se chehre wali bachchi
rote rote so jati thi

chand ko bhi ehsas tha us ka
der-sawer to waise bhi ho jati hai
koi sabab to hota hoga
lekin apni dhun mein raqsan
logon ne kab socha hoga
aur kisi ne is bare mein socha hoga
to us ne is pagal-pan par
hans kar
kak uDaya hoga
taza paig uThaya hoga
der-sawer to waise bhi ho jati hai

lekin chand ko
aur kahin se bhi to ho kar aana tha
kuchh raaton se
sat samundar-par jazire ke Tile par baiThi
tanha ek masum si laDki
der talak bas us ko takti rahti hai
takte takte ro deti hai
jaane kaisa rog laga baiThi hai

chand ab roz hi is basti se guzra karta
us ko takta rahta
lekin aaKHir kab tak
us ko aur bhi aage jaana hota tha
us ka rasta dekhne walon mein
wo bachchi bhi to shamil thi
jo rote rote so jati thi
aur wo sab jo chandni-raaton ke rasiya the
un ke chehre bhi jaane-pahchane the

chandni-raaton ke rasiya
us raat bhi
us ka rasta dekh rahe the
lekin chand ko us laDki ki basti bhi to jaana tha
wo laDki jo chand ke andar apne hi mahbub ka chehra takti hai
chand ko lekin kuchh raaton se wo laDki ab apni apni lagti hai
der-sawer to waise bhi ho jati hai

(757) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai written by Firoz Natiq Khusro at UrduPoint. Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai is one of the masterpieces written by Firoz Natiq Khusro. You can also find the complete poetry collection of Firoz Natiq Khusro by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Firoz Natiq Khusro' above.

Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Der-sawer To Waise Bhi Ho Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.