FaKHta Ka Rang Zard Tha, Urdu Nazam By Firoz Natiq Khusro

FaKHta Ka Rang Zard Tha is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Firoz Natiq Khusro. FaKHta Ka Rang Zard Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read FaKHta Ka Rang Zard Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فاختہ کا رنگ زرد تھا

فیروز ناطق خسرو

کھٹ بڑھئی کی دستک پر

تناور شجر نے

کندھے جھٹک کر

اپنی بے نیازی کا اظہار کیا

ہوا کا تیز جھونکا

گھڑی بھر کے لیے پتوں سے الجھا

پھولی ہوئی سانس سے کچھ کہنا چاہا

مگر الفاظ نے ساتھ نہ دیا

شجر نے بڑی بے اعتنائی سے

اس کی طرف ایک نظر دیکھا

مگر جھونکا اتنی دیر میں دور جا چکا تھا

ابھی اسے اور بھی تو پیغام پہنچانے تھے

یک بارگی شجر کھڑے قد سے ڈگمگایا

حالانکہ فضا بالکل ساکت تھی

پتے انجانے خوف سے

ہولے ہولے کانپ رہے تھے

کھٹ بڑھئی کی دستک تیز سے تیز تر ہوتی جا رہی تھی

ہوا کا جھونکا

واپسی میں پل کے پل ٹھہرا

مگر بہت دیر ہو چکی تھی

تناور درخت ایک بار بڑی زور سے کانپا

اور ایک طرف جھکتا چلا گیا

اس کی اپنی غفلت نے

دیمک کی طرح

اس کے وجود کو کھوکھلا کر دیا تھا

کھٹ بڑھئی کی دستک بھی دم توڑ چکی تھی

اور فاختہ

گرے ہوئے شجر کے اوپر

مسلسل چکر کاٹ رہی تھی

فیروز ناطق خسرو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

FaKHta Ka Rang Zard Tha

Firoz Natiq Khusro

khaT baDhai ki dastak par
tanawar shajar ne
kandhe jhaTak kar
apni be-niyazi ka izhaar kiya
hawa ka tez jhonka
ghaDi-bhar ke liye patton se uljha
phuli hui sans se kuchh kahna chaha
magar alfaz ne sath na diya
shajar ne baDi be-e'tinai se
us ki taraf ek nazar dekha
magar jhonka itni der mein dur ja chuka tha
abhi use aur bhi to paigham pahunchane the
yak-bargi shajar khaDe qad se Dagmagaya
haalanki faza bilkul sakit thi
patte anjaane KHauf se
haule haule kanp rahe the
khaT baDhai ki dastak tez se tez-tar hoti ja rahi thi
hawa ka jhonka
wapsi mein pal ke pal Thahra
magar bahut der ho chuki thi
tanawar daraKHt ek bar baDi zor se kanpa
aur ek taraf jhukta chala gaya
us ki apni ghaflat ne
dimak ki tarah
us ke wajud ko khokhla kar diya tha
khaT baDhai ki dastak bhi dam toD chuki thi
aur faKHta
gire hue shajar ke upar
musalsal chakkar kaT rahi thi

(688) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read FaKHta Ka Rang Zard Tha written by Firoz Natiq Khusro at UrduPoint. FaKHta Ka Rang Zard Tha is one of the masterpieces written by Firoz Natiq Khusro. You can also find the complete poetry collection of Firoz Natiq Khusro by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Firoz Natiq Khusro' above.

FaKHta Ka Rang Zard Tha is a widely read Urdu Nazam. If you like FaKHta Ka Rang Zard Tha, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.