Ghar Ka Wahid Mard, Urdu Nazam By Firoz Natiq Khusro

Ghar Ka Wahid Mard is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Firoz Natiq Khusro. Ghar Ka Wahid Mard comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ghar Ka Wahid Mard on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گھر کا واحد مرد

فیروز ناطق خسرو

مری باجی

بہت دیر سے مجھے آوازیں دے رہی تھیں

غالباً بازار جانا تھا

جب سے ابا کا انتقال ہوا ہے

وہ ہر چھوٹے بڑے کام کے لیے

جب بھی کہیں جاتیں مجھے ساتھ لے جاتی تھیں

کبھی کبھی تو مجھے بہت برا لگتا

آج بھی میں اپنا کھیل چھوڑ کر اٹھا

باجی نے سر پر چادر ڈالی امی سے پیسے لیے

اور میرا ہاتھ تھام کر چل دیں

میں بہن سے چمٹا ہوا چل رہا تھا

بازار اور گھر کی درمیانی تنگ گلی میں

سر شام تاریکی چھا جاتی تھی

مجھے وہاں سے گزرتے ہوئے ہمیشہ ہی خوف آتا تھا

بازار سے واپسی پر گلی میں داخل ہوتے ہی

مجھے خوف کے ساتھ کچھ عجیب سا احساس ہوا

میرے ہاتھ پر

بہن کی گرفت زیادہ ہی سخت ہو گئی تھی

نیم تاریک سنسان گلی کے بیچو بیچ چند نوجوان لڑکے

ہمارا راستہ روکے کھڑے تھے

وہ اچھے لوگ نہیں لگتے تھے

جب ہی تو میری باجی ان سے خوفزدہ لگ رہی تھیں

اچانک سب کچھ میری سمجھ میں آ گیا

میری بہن مجھے اپنے سہارے کے لیے

باہر لے کر جاتی تھیں

ابا کی وفات کے بعد گھر کے اندر میں ہی تو واحد مرد تھا

یہ احساس ہوتے ہی

میں نے باجی کے ہاتھ سے اپنا ہاتھ چھڑا لیا

اور ان کے ہاتھ کو

اپنی چھوٹی چھوٹی انگلیوں میں مضبوطی سے جکڑ کر

بڑے اعتماد کے ساتھ نپے تلے قدم اٹھاتا

ان آوارہ لڑکوں کے غول سے نکلتا چلا گیا

اس لمحے مجھے ایسا محسوس ہوا جیسے میں سات سال کے

کسی کمزور بچے کی بجائے

ستائیس سال کا ایک توانا مرد ہوں

فیروز ناطق خسرو

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghar Ka Wahid Mard

Firoz Natiq Khusro

meri baji
bahut der se mujhe aawazen de rahi thin
ghaaliban bazar jaana tha
jab se abba ka intiqal hua hai
wo har chhoTe-baDe kaam ke liye
jab bhi kahin jatin mujhe sath le jati thin
kabhi kabhi to mujhe bahut bura lagta
aaj bhi main apna khel chhoD kar uTha
baji ne sar par chadar Dali ammi se paise liye
aur mera hath tham kar chal din
main bahan se chimTa hua chal raha tha
bazar aur ghar ki darmiyani tang gali mein
sar-e-sham tariki chha jati thi
mujhe wahan se guzarte hue hamesha hi KHauf aata tha

bazar se wapsi par gali mein daKHil hote hi
mujhe KHauf ke sath kuchh ajib sa ehsas hua
mere hath par
bahan ki giraft ziyaada hi saKHt ho gai thi
nim-tarik sunsan gali ke bicho-bich chand naujawan laDke
hamara rasta roke khaDe the
wo achchhe log nahin lagte the
jab hi to meri baji un se KHaufzada lag rahi thin
achanak sab kuchh meri samajh mein aa gaya
meri bahan mujhe apne sahaare ke liye
bahar le kar jati thin
abba ki wafat ke ba'd ghar ke andar main hi to wahid mard tha
ye ehsas hote hi
main ne baji ke hath se apna hath chhuDa liya
aur un ke hath ko
apni chhoTi chhoTi ungliyon mein mazbuti se jakaD kar
baDe e'timad ke sath nape tule qadam uThata
un aawara laDkon ke ghol se nikalta chala gaya
us lamhe mujhe aisa mahsus hua jaise main sat sal ke
kisi kamzor bachche ki bajae
sattais sal ka ek tawana mard hun

(876) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ghar Ka Wahid Mard written by Firoz Natiq Khusro at UrduPoint. Ghar Ka Wahid Mard is one of the masterpieces written by Firoz Natiq Khusro. You can also find the complete poetry collection of Firoz Natiq Khusro by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Firoz Natiq Khusro' above.

Ghar Ka Wahid Mard is a widely read Urdu Nazam. If you like Ghar Ka Wahid Mard, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.