Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota, Urdu Ghazal By Haidar Ali Jafri

Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Ali Jafri. Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوتا فن کار جدید اور نہ شاعر ہوتا

حیدر علی جعفری

ہوتا فن کار جدید اور نہ شاعر ہوتا

لغو بے بحر خیالات کا مظہر ہوتا

اور بڑھ جاتی جو ابہام کی ندرت مجھ میں

عہد نو کے کسی فرقے کا پیمبر ہوتا

کچھ تو ملتا مجھے دشنام طرازی ہی سہی

خوب ہوتا جو میں دشمن کے برابر ہوتا

کاہے کو دشت میں چبھنے کے لیے رہ جاتا

پھول ہوتا کسی گلشن کا گل تر ہوتا

مجھ پہ بھی تیشۂ الفت کی عنایت ہوتی

کاش کے میں بھی کسی کوہ کا پتھر ہوتا

یوں تراشے ہیں صنم کفر کے اس دنیا نے

بت شکن ہوتا جو اس دور میں آذرؔ ہوتا

کھینچ دیتا میں زمانے پہ محبت کے نقوش

میرے قبضے میں اگر خامۂ شہ پر ہوتا

اپنی خلیق کا مفہوم سمجھ پاتا اگر

دائرہ ہوتا جہاں اور میں محور ہوتا

لوگ مجھ کو بھی شہید غم دوراں کہتے

نیزۂ وقت پہ گویا جو مرا سر ہوتا

دشت کی آب و ہوا نے دیا کانٹوں کا لباس

میں بہاروں میں جو پلتا گل احمر ہوتا

خون مزدور کا ملتا جو نہ تعمیروں میں

نہ حویلی نہ محل اور نہ کوئی گھر ہوتا

تشنہ لب کوئی بھی دنیا میں نہیں رہ پاتا

میری آنکھوں کے جو قبضے میں سمندر ہوتا

حیدر علی جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota

Haidar Ali Jafri

hota fankar-e-jadid aur na shaer hota
laghw be-bahr KHayalat ka mazhar hota

aur baDh jati jo ibham ki nudrat mujh mein
ahd-e-nau ke kisi firqe ka payambar hota

kuchh to milta mujhe dushnam-taraazi hi sahi
KHub hota jo main dushman ke barabar hota

kahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jata
phul hota kisi gulshan ka gul-e-tar hota

mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki inayat hoti
kash ke main bhi kisi koh ka patthar hota

yun tarashe hain sanam kufr ke is duniya ne
but-shikan hota jo is daur mein 'azar' hota

khinch deta main zamane pe mohabbat ke nuqush
mere qabze mein agar KHama-e-shahpar hota

apni KHaliq ka mafhum samajh pata agar
daera hota jahan aur main mehwar hota

log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauran kahte
neza-e-waqt pe goya jo mera sar hota

dasht ki aab-o-hawa ne diya kanTon ka libas
main bahaaron mein jo palta gul-e-ahmar hota

KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein
na haweli na mahal aur na koi ghar hota

tishna-lab koi bhi duniya mein nahin rah pata
meri aaankhon ke jo qabze mein samundar hota

(627) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota written by Haidar Ali Jafri at UrduPoint. Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota is one of the masterpieces written by Haidar Ali Jafri. You can also find the complete poetry collection of Haidar Ali Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Ali Jafri' above.

Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hota Fankar-e-jadid Aur Na Shaer Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.