Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha, Urdu Ghazal By Haidar Ali Jafri

Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Ali Jafri. Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ سر چھپانے کو گھر تھا نہ آب و دانہ تھا

حیدر علی جعفری

نہ سر چھپانے کو گھر تھا نہ آب و دانہ تھا

زمانے بھر کی نگاہوں کا میں نشانہ تھا

بھلا نہ پایا اسے جس کو بھول جانا تھا

وفاؤں سے مرا رشتہ بہت پرانا تھا

جو عکس غیر کی تابش میں ڈھونڈتا تھا جلا

اس آئینے کو بکھرنا تھا ٹوٹ جانا تھا

دریچے ماضی کے کھلنے لگے تو یاد آیا

یہیں کہیں کسی ڈالی پہ آشیانہ تھا

صلے میں کیا مجھے ملتا جو اور رک جاتا

ترے خطوط کو اک روز تو جلانا تھا

جہاں پہ طائر فکر سخن کے پر سلتے

وہیں پہ عقل و خرد کا نیا ٹھکانا تھا

لہو کا رنگ چٹانوں کے آبشاروں میں

انہیں نشیب میں دریائے خوں بہانا تھا

قبائے سرخ سیہ بادلوں نے اوڑھی تھی

کسی کے جرم سے پردہ انہیں اٹھانا تھا

وہ ایک ہلکے تبسم کی کاٹ سہ نہ سکا

ستم کا وار بھی کس درجہ بزدلانہ تھا

تمام شورشیں سفاکیاں عروج پہ تھیں

بالآخر ان کو عدالت سے چھوٹ جانا تھا

دکاں لگائے ہوں ٹوٹے ہوئے کھلونے کی

کہ بھولتا نہیں بچپن بھی کیا زمانہ تھا

حیدر علی جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha

Haidar Ali Jafri

na sar chhupane ko ghar tha na aab-o-dana tha
zamane bhar ki nigahon ka main nishana tha

bhula na paya use jis ko bhul jaana tha
wafaon se mera rishta bahut purana tha

jo aks-e-ghair ki tabish mein DhunDta tha jila
us aaine ko bikharna tha TuT jaana tha

dariche mazi ke khulne lage to yaad aaya
yahin kahin kisi Dali pe aashiyana tha

sile mein kya mujhe milta jo aur ruk jata
tere KHutut ko ek roz to jalana tha

jahan pe tair-e-fikr-e-suKHan ke par silte
wahin pe aql-o-KHirad ka naya Thikana tha

lahu ka rang chaTanon ke aabshaaron mein
unhen nasheb mein dariya-e-KHun bahana tha

qaba-e-surKH siyah baadalon ne oDhi thi
kisi ke jurm se parda unhen uThana tha

wo ek halke tabassum ki kaT sah na saka
sitam ka war bhi kis darja buzdilana tha

tamam shorishen saffakiyan uruj pe thin
bil-aKHir un ko adalat se chhuT jaana tha

dukan lagae hun TuTe hue khilaune ki
ki bhulta nahin bachpan bhi kya zamana tha

(579) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha written by Haidar Ali Jafri at UrduPoint. Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha is one of the masterpieces written by Haidar Ali Jafri. You can also find the complete poetry collection of Haidar Ali Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Ali Jafri' above.

Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Sar Chhupane Ko Ghar Tha Na Aab-o-dana Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.