Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai, Urdu Ghazal By Haidar Ali Jafri

Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Ali Jafri. Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ارتکاب جرم شر کی بات ہے

حیدر علی جعفری

ارتکاب جرم شر کی بات ہے

اور بری ہونا ہنر کی بات ہے

اک کہانی ہے کہ صدیوں پر محیط

سوچنے میں دوپہر کی بات ہے

آئے ٹھہرے اور روانہ ہو گئے

زندگی کیا ہے، سفر کی بات ہے

ایک شعلہ سا لپک کر رہ گیا

یہ حیات مختصر کی بات ہے

ناصحا گر ہو سکے منزل پہ مل

زندگی تو رہگزر کی بات ہے

شادی و غم پر کریں کیا تبصرہ

تیرے میرے سب کے گھر کی بات ہے

راستے تو ہیں مگر منزل نہیں

کیا ہمارے راہ بر کی بات ہے

اب تو دوکانوں پہ بکتی ہے وفا

دوستو افراط زر کی بات ہے

بال و پر ہوتے تو کیوں ہوتے اسیر

قید میں کیوں بال و پر کی بات ہے

مطمئن کوئی نہیں حالات سے

شام کے لب پر سحر کی بات ہے

ہر قوی کو ہے وہاں جانے کا حق

دشت کی اور بحر و بر کی بات ہے

مردنی زائل ہو یا باقی رہے

یہ ترے حسن نظر کی بات ہے

حیدر علی جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai

Haidar Ali Jafri

irtikab-e-jurm shar ki baat hai
aur bari hona hunar ki baat hai

ek kahani hai ki sadiyon par muhit
sochne mein dopahar ki baat hai

aae Thahre aur rawana ho gae
zindagi kya hai, safar ki baat hai

ek shoala sa lapak kar rah gaya
ye hayat-e-muKHtasar ki baat hai

naseha gar ho sake manzil pe mil
zindagi to rah-guzar ki baat hai

shadi-o-gham par karen kya tabsira
tere mere sab ke ghar ki baat hai

raste to hain magar manzil nahin
kya hamare rahbar ki baat hai

ab to dukanon pe bikti hai wafa
dosto ifraat-e-zar ki baat hai

baal-o-par hote to kyun hote asir
qaid mein kyun baal-o-par ki baat hai

mutmain koi nahin haalat se
sham ke lab par sahar ki baat hai

har qawi ko hai wahan jaane ka haq
dasht ki aur bahr-o-bar ki baat hai

murdani zail ho ya baqi rahe
ye tere husn-e-nazar ki baat hai

(499) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai written by Haidar Ali Jafri at UrduPoint. Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai is one of the masterpieces written by Haidar Ali Jafri. You can also find the complete poetry collection of Haidar Ali Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Ali Jafri' above.

Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Irtikab-e-jurm Shar Ki Baat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.