Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar, Urdu Ghazal By Haidar Husain Fiza Lucknowi

Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Husain Fiza Lucknowi. Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو پھونک دے دل عالم وہ راہ پیدا کر

حیدر حسین فضا لکھنؤی

جو پھونک دے دل عالم وہ راہ پیدا کر

جو برق بن کے گرے وہ نگاہ پیدا کر

خلوص و خلق و محبت کی چاہ پیدا کر

مگر نہ اس میں کبھی اشتباہ پیدا کر

سکھائے صبر جو وہ درس گاہ پیدا کر

سکون و امن کی اک شاہ راہ پیدا کر

غم جہاں سے ہے بچنا تجھے اگر اے دل

تو زیر دامن الفت پناہ پیدا کر

جو بزم میں ہیں فدائی نہیں ہیں سب تیری

پرکھ سکے جو وفا وہ نگاہ پیدا کر

جو باغباں نے نشیمن جلایا اے بلبل

سمیٹ کر جلے تنکے گواہ پیدا کر

اگر بہار چمن کی ہے آرزو اے دل

ہوائے دشت سے بھی رسم و راہ پیدا کر

صنم کا دل میں زباں پر خدا کا نام رہے

گناہ کے لئے عذر گناہ پیدا کر

ہنسی اڑا نہ محبت کی ہائے وائے نہ کر

جو دل کی ہوک بنے ایسی آہ پیدا کر

فضاؔ یہی دل بیتاب کا تقاضا ہے

حریم ناز ہی میں جائے گاہ پیدا کر

حیدر حسین فضا لکھنؤی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar

Haidar Husain Fiza Lucknowi

jo phunk de dil-e-alam wo rah paida kar
jo barq ban ke gire wo nigah paida kar

KHulus-o-KHulq-o-mohabbat ki chah paida kar
magar na is mein kabhi ishtibah paida kar

sikhae sabr jo wo dars-gah paida kar
sukun-o-amn ki ek shah-rah paida kar

gham-e-jahan se hai bachna tujhe agar ai dil
tu zer-e-daman-e-ulfat panah paida kar

jo bazm mein hain fidai nahin hain sab teri
parakh sake jo wafa wo nigah paida kar

jo baghban ne nasheman jalaya ai bulbul
sameT kar jale tinke gawah paida kar

agar bahaar-e-chaman ki hai aarzu ai dil
hawa-e-dasht se bhi rasm-o-rah paida kar

sanam ka dil mein zaban par KHuda ka nam rahe
gunah ke liye uzr-e-gunah paida kar

hansi uDa na mohabbat ki hae wae na kar
jo dil ki huk bane aisi aah paida kar

'faza' yahi dil-e-betab ka taqaza hai
harim-e-naz hi mein jae-gah paida kar

(478) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar written by Haidar Husain Fiza Lucknowi at UrduPoint. Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar is one of the masterpieces written by Haidar Husain Fiza Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi' above.

Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Phunk De Dil-e-alam Wo Rah Paida Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.