Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai, Urdu Ghazal By Haidar Husain Fiza Lucknowi

Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Husain Fiza Lucknowi. Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل حسن کے انداز سے مسحور بہت ہے

حیدر حسین فضا لکھنؤی

دل حسن کے انداز سے مسحور بہت ہے

آنکھ اس بت طناز کی مخمور بہت ہے

سنتے ہیں کہ ہے نزع میں دیدار کا وعدہ

دل موت کے اذکار سے مسرور بہت ہے

جلتی ہے زباں تذکرۂ شعلہ رخاں سے

دل شمع کی صورت مرا محروم بہت ہے

دنیا کی نگاہوں کا بجا خوف ہے اس کو

اظہار وفا کرنے میں مجبور بہت ہے

روکے نہیں رکتی ہیں تڑپتی ہوئی آہیں

دل ہجر میں اس شوخ کے رنجور بہت ہے

ہر سانس مزین ہے مری یاد سے اس کی

ہے دل سے قریں نظروں سے جو دور بہت ہے

ٹکڑے دل ناشاد کے اب جڑ نہیں سکتے

شیشہ اثر درد سے یہ چور بہت ہے

لب پر نہ شکایت ہو نہ آنکھوں سے گرے اشک

دشوار محبت کا یہ دستور بہت ہے

مل جاتا ہے منزل کا پتہ بھٹکے ہوؤں کو

ہر نقش قدم حسن کا پر نور بہت ہے

وہ مشق ستم شوق سے کرتے رہیں ہم پر

محبوب کی خاطر ہمیں منظور بہت ہے

محنت کا صلہ فاقہ و افلاس ہی پایا

تنگ آج کے زردار سے مزدور بہت ہے

شل ایسے ہوئے پاؤں اٹھائے نہیں جاتے

گو سامنے منزل ہے مگر دور بہت ہے

ہے ناز فضاؔ کو بھی بہت عشق پہ اپنے

گر حسن و نزاکت میں وہ مشہور بہت ہے

حیدر حسین فضا لکھنؤی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai

Haidar Husain Fiza Lucknowi

dil husn ke andaz se mashur bahut hai
aankh us but-e-tannaz ki maKHmur bahut hai

sunte hain ki hai naza mein didar ka wa'da
dil maut ke azkar se masrur bahut hai

jalti hai zaban tazkira-e-shoala-ruKHan se
dil shama ki surat mera mahrum bahut hai

duniya ki nigahon ka baja KHauf hai us ko
izhaar-e-wafa karne mein majbur bahut hai

roke nahin rukti hain taDapti hui aahen
dil hijr mein us shoKH ke ranjur bahut hai

har sans muzayyan hai meri yaad se us ki
hai dil se qarin nazron se jo dur bahut hai

TukDe dil-e-nashad ke ab juD nahin sakte
shisha asar-e-dard se ye chur bahut hai

lab par na shikayat ho na aankhon se gire ashk
dushwar mohabbat ka ye dastur bahut hai

mil jata hai manzil ka pata bhaTke huon ko
har naqsh-e-qadam husn ka pur-nur bahut hai

wo mashq-e-sitam shauq se karte rahen hum par
mahbub ki KHatir hamein manzur bahut hai

mehnat ka sila faqa-o-iflas hi paya
tang aaj ke zardar se mazdur bahut hai

shal aise hue panw uThae nahin jate
go samne manzil hai magar dur bahut hai

hai naz 'faza' ko bhi bahut ishq pe apne
gar husn-o-nazakat mein wo mashhur bahut hai

(452) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai written by Haidar Husain Fiza Lucknowi at UrduPoint. Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai is one of the masterpieces written by Haidar Husain Fiza Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi' above.

Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Husn Ke Andaz Se Mashur Bahut Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.