Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin, Urdu Ghazal By Haidar Husain Fiza Lucknowi

Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Husain Fiza Lucknowi. Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیکھنے والو کہو دل میں کسک ہے کہ نہیں

حیدر حسین فضا لکھنؤی

دیکھنے والو کہو دل میں کسک ہے کہ نہیں

ان کے چہرے پہ مرے غم کی جھلک ہے کہ نہیں

آپ کے ہجر میں روتا ہے یہ دل آٹھ پہر

دیکھیے نم مرے اشکوں سے پلک ہے کہ نہیں

تند لہجے میں کیا تو نے سدا مجھ سے کلام

تیری آواز میں کچھ لوچ لچک ہے کہ نہیں

بے رخی سے تری دل میرا ہوا ہے گھائل

اور زخموں پہ چھڑکنے کو نمک ہے کہ نہیں

سایۂ زلف سے محروم ہوا ہے جس دن

تیرے شیدا کو اسی دن سے سنک ہے کہ نہیں

بھول جاتا ہے ہر اک بار وہ وعدہ کر کے

دشمنی پر مری آمادہ فلک ہے کہ نہیں

آدمی ظلمت قسمت میں رہے گا کب تک

اس کی تقدیر میں تاروں کی چمک ہے کہ نہیں

ہو گیا آج مرا کلبۂ احزاں روشن

ان کے آنے سے مکاں رشک فلک ہے کہ نہیں

رائیگاں ہو نہیں سکتا کبھی خون عشاق

کوچۂ یار کے ذروں میں چمک ہے کہ نہیں

آپ کے آنے سے کس درجہ ملا اس کو سکوں

رخ بیمار پہ خوشیوں کی دمک ہے کہ نہیں

بعد پرتو کے نوا کرتے ہیں اصلاح سخن

میرے اشعار میں پرتو کی جھلک ہے کہ نہیں

اس کی الفت میں بہت بادیہ پیمائی کی

اے فضاؔ پاؤں کے چھالوں میں تپک ہے کہ نہیں

حیدر حسین فضا لکھنؤی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin

Haidar Husain Fiza Lucknowi

dekhne walo kaho dil mein kasak hai ki nahin
un ke chehre pe mere gham ki jhalak hai ki nahin

aap ke hijr mein rota hai ye dil aaTh pahar
dekhiye nam mere ashkon se palak hai ki nahin

tund lahje mein kiya tu ne sada mujh se kalam
teri aawaz mein kuchh loch lachak hai ki nahin

be-ruKHi se teri dil mera hua hai ghayal
aur zaKHmon pe chhiDakne ko namak hai ki nahin

saya-e-zulf se mahrum hua hai jis din
tere shaida ko usi din se sanak hai ki nahin

bhul jata hai har ek bar wo wade kar ke
dushmani par meri aamada falak hai ki nahin

aadmi zulmat-e-qismat mein rahega kab tak
is ki taqdir mein taron ki chamak hai ki nahin

ho gaya aaj mera kulba-e-ahzan raushan
un ke aane se makan rashk-e-falak hai ki nahin

raegan ho nahin sakta kabhi KHun-e-ushshaq
kucha-e-yar ke zarron mein chamak hai ki nahin

aap ke aane se kis darja mila us ko sukun
ruKH-e-bimar pe KHushiyon ki damak hai ki nahin

ba'd partaw ke nawa karte hain islah-e-suKHan
mere ashaar mein partaw ki jhalak hai ki nahin

us ki ulfat mein bahut baadiya-paimai ki
ai 'faza' panw ke chhaalon mein tapak hai ki nahin

(453) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin written by Haidar Husain Fiza Lucknowi at UrduPoint. Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin is one of the masterpieces written by Haidar Husain Fiza Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Husain Fiza Lucknowi' above.

Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dekhne Walo Kaho Dil Mein Kasak Hai Ki Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.