Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai, Urdu Ghazal By Hairat Farrukhabadi

Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hairat Farrukhabadi. Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تری بے نیازیوں کا مجھے کچھ گلہ نہیں ہے

حیرت فرخ آبادی

تری بے نیازیوں کا مجھے کچھ گلہ نہیں ہے

مرا دل ہے خوب واقف ترا دل برا نہیں ہے

غم دوست در حقیقت ترا رہنمائے منزل

وہی کم نگاہ نکلا جسے حوصلہ نہیں ہے

مرے عشق کا مقدر مری زندگی کا حاصل

غم یار کے علاوہ کوئی دوسرا نہیں ہے

ترا درد زندگی ہے ترا غم مرا مقدر

مجھے اور چاہیے کیا مرے گھر میں کیا نہیں ہے

مجھے تو نے بخش دی ہے جو سزائے درد فرقت

یہ تو عین زندگی ہے یہ سزا سزا نہیں ہے

تری جستجو کے صدقے یہ کھلا ہے راز مجھ پر

کہ میان دیر و کعبہ کوئی فاصلہ نہیں ہے

رہ خلق میں لٹا دے جو متاع زندگانی

وہی بندۂ خدا ہے وہ اگر خدا نہیں ہے

نہ جنوں کی حد ہے کوئی ہے نہ عشق ہی مقید

کہاں جا رہا ہوں یارو مجھے کچھ پتا نہیں ہے

یہ جو روشنی ہے ہر سو تو خرد ہے کیوں پریشاں

یہ جو جل رہا ہے دل ہے یہ کوئی دیا نہیں ہے

مجھے عشق ہے خودی سے میں فریفتہ ہوں خود پر

نہیں جو قریب میرے وہ مرا خدا نہیں ہے

جو مزا ہے تشنگی میں ہے جو لطف بے قراری

تجھے کیا بتاؤں ہمدم ترا دل جلا نہیں ہے

کرے کیوں اثر نہ حیرتؔ یہ غزل تری دلوں پر

یہ نوائے ساز دل ہے کوئی فلسفہ نہیں ہے

حیرت فرخ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai

Hairat Farrukhabadi

teri be-niyaziyon ka mujhe kuchh gila nahin hai
mera dil hai KHub waqif tera dil bura nahin hai

gham-e-dost dar-haqiqat tera rahnuma-e-manzil
wahi kam-nigah nikla jise hausla nahin hai

mere ishq ka muqaddar meri zindagi ka hasil
gham-e-yar ke alawa koi dusra nahin hai

tera dard zindagi hai tera gham mera muqaddar
mujhe aur chahiye kya mere ghar mein kya nahin hai

mujhe tu ne baKHsh di hai jo saza-e-dard-e-furqat
ye to ain zindagi hai ye saza saza nahin hai

teri justuju ke sadqe ye khula hai raaz mujh par
ki myan-e-dair-o-kaba koi fasla nahin hai

rah-e-KHalq mein luTa de jo mataa-e-zindagani
wahi banda-e-KHuda hai wo agar KHuda nahin hai

na junun ki had hai koi hai na ishq hi muqayyad
kahan ja raha hun yaro mujhe kuchh pata nahin hai

ye jo raushni hai har su to KHirad hai kyon pareshan
ye jo jal raha hai dil hai ye koi diya nahin hai

mujhe ishq hai KHudi se main farefta hun KHud par
nahin jo qarib mere wo mera KHuda nahin hai

jo maza hai tishnagi mein hai jo lutf-e-be-qarari
tujhe kya bataun hamdam tera dil jala nahin hai

kare kyun asar na 'hairat' ye ghazal teri dilon par
ye nawa-e-saz-e-dil hai koi falsafa nahin hai

(954) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai written by Hairat Farrukhabadi at UrduPoint. Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai is one of the masterpieces written by Hairat Farrukhabadi. You can also find the complete poetry collection of Hairat Farrukhabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hairat Farrukhabadi' above.

Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Teri Be-niyaziyon Ka Mujhe Kuchh Gila Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.