Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya, Urdu Ghazal By Hairat Farrukhabadi

Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hairat Farrukhabadi. Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت شب گم ہوا سایہ تو مجھے یاد آیا

حیرت فرخ آبادی

وقت شب گم ہوا سایہ تو مجھے یاد آیا

ہو گیا اپنا پرایا تو مجھے یاد آیا

میری بربادی میں تھا ہاتھ کوئی پوشیدہ

اس نے جب ہاتھ ملایا تو مجھے یاد آیا

تلخیٔ دوراں نہیں بدلے گی یہ تلخیٔ مے

جام جب سامنے آیا تو مجھے یاد آیا

ریت ہی ریت نظر آتی تھی تا حد نظر

اب کے سیلاب جو آیا تو مجھے یاد آیا

ٹوٹے گھر میں وہ تھکا ہارا کبوتر سر شام

گھونسلہ ڈھونڈنے آیا تو مجھے یاد آیا

زندگی صرف کڑی دھوپ سفر لمبا ہے

کہیں سایہ نظر آیا تو مجھے یاد آیا

اس اندھیرے میں کہیں ہوگا اجالا کچھ تو

میں نے دل اپنا جلایا تو مجھے یاد آیا

میرا احساس ابھی مردہ نہیں ہے شاید

اس نے جب مجھ کو رلایا تو مجھے یاد آیا

صرف مطلب کے غرض کے ہیں یہاں سب رشتے

اس نے احسان جتایا تو مجھے یاد آیا

ایک ویرانی ہے سناٹا ہے اور کچھ بھی نہیں

شہر میں اپنے جب آیا تو مجھے یاد آیا

بے یقینی مرے احساس کا سرمایہ ہے

وہ مرے سامنے آیا تو مجھے یاد آیا

زندگی عہد گزشتہ کی پرانی تقصیر

دور حاضر نے ستایا تو مجھے یاد آیا

بے ثباتی ہی حقیقت ہے جہاں میں یارو

دل کا بھی زخم بھر آیا تو مجھے یاد آیا

دل سے کچھ اس کا تعلق نہیں رسماً مجھ کو

دور تک چھوڑنے آیا تو مجھے یاد آیا

کٹ گئی عمر بھٹکتے ہی بھٹکتے حیرتؔ

راستہ جب نظر آیا تو مجھے یاد آیا

حیرت فرخ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya

Hairat Farrukhabadi

waqt-e-shab gum hua saya to mujhe yaad aaya
ho gaya apna paraya to mujhe yaad aaya

meri barbaadi mein tha hath koi poshida
us ne jab hath milaya to mujhe yaad aaya

talKHi-e-dauran nahin badlegi ye talKHi-e-mai
jam jab samne aaya to mujhe yaad aaya

ret hi ret nazar aati thi ta-hadd-e-nazar
ab ke sailab jo aaya to mujhe yaad aaya

TuTe ghar mein wo thaka haara kabutar sar-e-sham
ghonsla DhunDne aaya to mujhe yaad aaya

zindagi sirf kaDi dhup safar lamba hai
kahin saya nazar aaya to mujhe yaad aaya

is andhere mein kahin hoga ujala kuchh to
main ne dil apna jalaya to mujhe yaad aaya

mera ehsas abhi murda nahin hai shayad
us ne jab mujh ko rulaya to mujhe yaad aaya

sirf matlab ke gharaz ke hain yahan sab rishte
us ne ehsan jataya to mujhe yaad aaya

ek virani hai sannaTa hai aur kuchh bhi nahin
shahr mein apne jab aaya to mujhe yaad aaya

be-yaqini mere ehsas ka sarmaya hai
wo mere samne aaya to mujhe yaad aaya

zindagi ahd-e-guzishta ki purani taqsir
daur-e-hazir ne sataya to mujhe yaad aaya

be-sabaati hi haqiqat hai jahan mein yaro
dil ka bhi zaKHm bhar aaya to mujhe yaad aaya

dil se kuchh us ka talluq nahin rasman mujh ko
dur tak chhoDne aaya to mujhe yaad aaya

kaT gai umr bhaTakte hi bhaTakte 'hairat'
rasta jab nazar aaya to mujhe yaad aaya

(871) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya written by Hairat Farrukhabadi at UrduPoint. Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya is one of the masterpieces written by Hairat Farrukhabadi. You can also find the complete poetry collection of Hairat Farrukhabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hairat Farrukhabadi' above.

Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt-e-shab Gum Hua Saya To Mujhe Yaad Aaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.