Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar, Urdu Ghazal By Haji Shafiullah Shafi Bahraichi

Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haji Shafiullah Shafi Bahraichi. Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کمال عشق میں جذب و اثر کی بات نہ کر

حاجی شفیع اللہ شفیع بہرائچی

کمال عشق میں جذب و اثر کی بات نہ کر

انہیں کی راہ میں کھو جا خبر کی بات نہ کر

تری تلاش میں منزل کی کوئی قید نہیں

حرم کی دیر کی دیوار و در کی بات نہ کر

کلیم دیکھ چکے حسن یار کے جلوے

یہ ان کا بخت ہے ذوق نظر کی بات نہ کر

مہک مہک اٹھیں گلیاں جو کھل گئے گیسو

ریاض حضرت خیر البشر کی بات نہ کر

شعور اسی کا تو عرش بریں کی زینت ہے

فقط رسائیٔ پائے بشر کی بات نہ کر

طلوع ماہ عرب سے ہیں دو جہاں روشن

ضیا فروزیٔ شمس و قمر کی بات نہ کر

چمن بدوش ہے ہر ذرہ ارض طیبہ کا

بہار گلشن گلہائے تر کی بات نہ کر

بہار مصحف‌ ناطق کے دیکھنے والے

ارم کی دہر کی برگ و شجر کی بات نہ کر

ہمارے اشک ندامت کا کوئی مول کہاں

یہ نذر نقد ہے لعل و گہر کی بات نہ کر

جہاں میں چار سو پھیلا ہوا ہے بغض و عناد

اندھیری رات میں نور سحر کی بات نہ کر

شفیعؔ امید ہے بخشائیں گے وہی مجھ کو

بجز عطائے شہہ بحر و بر کی بات نہ کر

حاجی شفیع اللہ شفیع بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar

Haji Shafiullah Shafi Bahraichi

kamal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar
unhin ki rah mein kho ja KHabar ki baat na kar

teri talash mein manzil ki koi qaid nahin
haram ki dair ki diwar-o-dar ki baat na kar

kalim dekh chuke husn-e-yar ke jalwe
ye un ka baKHt hai zauq-e-nazar ki baat na kar

mahak mahak uThin galiyan jo khul gae gesu
riyaz-e-hazrat-e-KHairul-bashar ki baat na kar

shuur usi ka to arsh-e-barin ki zinat hai
faqat rasai-e-pa-e-bashar ki baat na kar

tulua-e-mah-e-arab se hain do-jahan raushan
ziya-furozi-e-shams-o-qamar ki baat na kar

chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba ka
bahaar-e-gulshan-e-gulha-e-tar ki baat na kar

bahaar-e-mushaf-e-natiq ke dekhne wale
iram ki dahr ki barg-o-shajar ki baat na kar

hamare ashk-e-nadamat ka koi mol kahan
ye nazr-e-naqd hai lal-o-gohar ki baat na kar

jahan mein chaar su phaila hua hai bughz-o-inad
andheri raat mein nur-e-sahar ki baat na kar

'shafia' ummid hai baKHshaenge wahi mujh ko
ba-juz ata-e-shah-e-bahr-o-bar ki baat na kar

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Haji Shafiullah Shafi Bahraichi Poetry

You can read Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar written by Haji Shafiullah Shafi Bahraichi at UrduPoint. Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar is one of the masterpieces written by Haji Shafiullah Shafi Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Haji Shafiullah Shafi Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haji Shafiullah Shafi Bahraichi' above.

Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kamal-e-ishq Mein Jazb-o-asar Ki Baat Na Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.