Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha, Urdu Ghazal By Hameeda Moeen Rizvi

Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hameeda Moeen Rizvi. Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس ترک تعلق کا عجب مجھ پر اثر تھا

حمیدہ معین رضوی

اس ترک تعلق کا عجب مجھ پر اثر تھا

خود ہی وہ جلا ڈالا جو یادوں کا شجر تھا

صحرا میں گلابوں کو اگانے کی تمنا

یہ خواب انوکھا سا مرے پیش نظر تھا

وہ لوٹ کے اک دن جو پشیماں چلا آیا

میرے ہی وہ جذبوں کی صداقت کا سحر تھا

وہ میری دریدوں میں بھی موجود رہا ہے

میں کیسے بھلا دیتی نہیں اس سے مفر تھا

باقی رہا کانٹوں میں لہو ہونے کے با وصف

خودداری کا احساس مرا کیسا نڈر تھا

لائق ہی نہ تھا کوئی مکیں دل میں جو رہتا

ورنہ یہ کشادہ تو بہت رہنے کو گھر تھا

جن کرچیوں سے میرا بدن آج لہو ہے

وہ ٹوٹ کے بکھرا مرا ہی شیش نگر تھا

دل دھڑکا قدم ٹھٹھکے پلٹ کر ہوا معلوم

جس نے یہ صدا دی تھی ترا راہ گزر تھا

اک اندھا ارادہ لیے جاتا ہے کسی سمت

جب ٹھہرے تو دیکھا نہ سفر تھا نہ حضر تھا

اس لذت تخلیق کی کاوش میں پھنسا جو

نکلا نہ کبھی اس سے یہ ایسا ہی بھنور تھا

منزل نہ تھی کوئی نہ ہی رستہ نظر آتا

یہ سب اسی تفریق و تعصب کا ثمر تھا

حمیدہ معین رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha

Hameeda Moeen Rizvi

is tark-e-talluq ka ajab mujh par asar tha
KHud hi wo jala Dala jo yaadon ka shajar tha

sahra mein gulabon ko ugane ki tamanna
ye KHwab anokha sa mere pesh-e-nazar tha

wo lauT ke ek din jo pasheman chala aaya
mere hi wo jazbon ki sadaqat ka sahar tha

wo meri duridon mein bhi maujud raha hai
main kaise bhula deti nahin us se mafar tha

baqi raha kanTon mein lahu hone ke ba-wasf
KHuddari ka ehsas mera kaisa niDar tha

laeq hi na tha koi makin dil mein jo rahta
warna ye kushada to bahut rahne ko ghar tha

jin kirchiyon se mera badan aaj lahu hai
wo TuT ke bikhra mera hi shish-nagar tha

dil dhaDka qadam ThiThke palaT kar hua malum
jis ne ye sada di thi tera rahguzar tha

ek andha irada liye jata hai kisi samt
jab Thahre to dekha na safar tha na hazar tha

is lazzat-e-taKHliq ki kawish mein phansa jo
nikla na kabhi us se ye aisa hi bhanwar tha

manzil na thi koi na hi rasta nazar aata
ye sab usi tafriq-o-tassub ka samar tha

(536) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha written by Hameeda Moeen Rizvi at UrduPoint. Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha is one of the masterpieces written by Hameeda Moeen Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Hameeda Moeen Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hameeda Moeen Rizvi' above.

Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Tark-e-talluq Ka Ajab Mujh Par Asar Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.