Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar, Urdu Ghazal By Hassamuddin Haider Nami

Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassamuddin Haider Nami. Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بھولے کب لذت اسیری کی چمن کو دیکھ کر

حسام الدین حیدر نامی

بھولے کب لذت اسیری کی چمن کو دیکھ کر

یاد آتی ہے ہمیں غربت وطن کو دیکھ کر

حق بہ جانب ہے ہمارے تو کہ آئینہ میں وہ

بوسہ لے لیتا ہے آپ اپنے دہن کو دیکھ کر

سونگھنے والے تمہاری زلف عنبر فام کے

ہوتے ہیں چیں بر جبیں مشک ختن کو دیکھ کر

جی میں ہے اب بے ستوں میں جا کے روؤں خوب میں

نقش شیریں و مزار کوہ کن کو دیکھ کر

وہ سہی بالا جو گل یاد آ گیا گل گشت میں

لگ گئی ہچکی مجھے سرو چمن کو دیکھ کر

مت کیا کر عاشقوں کی خاک کو یوں پائمال

رسم عشق اٹھ جائے گی تیرے چلن کو دیکھ کر

تیرہ روزی یاں تلک تو ہے پر اب کھاتی ہے رشک

شام غربت ہے مری صبح وطن کو دیکھ کر

گل گریباں چاک کرتے ہیں چمن میں رشک سے

بر میں شبنم کے تمہارے پیرہن کو دیکھ کر

قصد کرتا ہوں ہم آغوشی کا لیکن روز وصل

جی نکل جاتا ہے اس نازک بدن کو دیکھ کر

چہچہے کرنے گئے سب بھول اب خاموش ہیں

مرغ گلشن میرے انداز سخن کو دیکھ کر

اس سے ملنے کو تو نامیؔ منع ہم کرتے نہیں

دیجیو لیکن دل اس پیماں شکن کو دیکھ کر

حسام الدین حیدر نامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar

Hassamuddin Haider Nami

bhule kab lazzat asiri ki chaman ko dekh kar
yaad aati hai hamein ghurbat watan ko dekh kar

haq-ba-jaanib hai hamare to ki aaine mein wo
bosa le leta hai aap apne dahan ko dekh kar

sunghne wale tumhaari zulf-e-ambar-fam ke
hote hain chin-bar-jabin mushk-e-KHutan ko dekh kar

ji mein hai ab be-sutun mein ja ke roun KHub main
naqsh-e-shirin-o-mazar-e-kohkan ko dekh kar

wo sahi baala jo gul yaad aa gaya gul-gasht mein
lag gai hichki mujhe sarw-e-chaman ko dekh kar

mat kiya kar aashiqon ki KHak ko yun paemal
rasm-e-ishq uTh jaegi tere chalan ko dekh kar

tira-rozi yan talak to hai par ab khati hai rashk
sham-e-ghurbat hai meri subh-e-watan ko dekh kar

gul gareban chaak karte hain chaman mein rashk se
bar mein shabnam ke tumhaare pairahan ko dekh kar

qasd karta hun ham-aghoshi ka lekin roz-e-wasl
ji nikal jata hai us nazuk badan ko dekh kar

chahchahe karne gae sab bhul ab KHamosh hain
murgh-e-gulshan mere andaz-e-suKHan ko dekh kar

us se milne ko to 'nami' mana hum karte nahin
dijiyo lekin dil us paiman-shikan ko dekh kar

(362) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar written by Hassamuddin Haider Nami at UrduPoint. Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar is one of the masterpieces written by Hassamuddin Haider Nami. You can also find the complete poetry collection of Hassamuddin Haider Nami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassamuddin Haider Nami' above.

Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bhule Kab Lazzat Asiri Ki Chaman Ko Dekh Kar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.