Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen, Urdu Nazam By Hassan Akbar Kamal

Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Hassan Akbar Kamal. Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ماضی میں رہ جانے والی آنکھیں

حسن اکبر کمال

ہم سب کی یادوں میں ہے اک سبز دریچہ

جس میں رکھا ہے گلدان

اس گلدان میں اب تک تازہ پھول سجے ہیں

پھولوں میں دو آنکھیں ہیں

جو ماضی کی تاریک گزر گاہوں میں

جیسے شمعیں بن کر روشن ہیں

ان آنکھوں اور ہم لوگوں میں

اب وقت کا صحرا حائل ہے

دور ہیں لیکن یہ آنکھیں ہر لمحہ دیکھتی رہتی ہیں

ہم کیسے ہیں کس دیس میں ہیں

کس بھیس میں ہیں کن لوگوں میں ہیں

کون ہمیں خوشیاں دیتا ہے کون ہمیں غم دیتا ہے

ان سے بچھڑ کے کس سے ملے

اور کس سے ہوئے ہم لوگ جدا

دکھ میں اور تنہائی میں وہ کون تھا جس کو یاد کیا

ہم روئیں تو آج بھی جیسے یہ آنکھیں رو دیتی ہیں

ہم خوش ہوں تو یہ بھی خوش ہو جاتی ہیں

ان آنکھوں کا ہمیں سہارا رہتا ہے

جیسے مسافر دشت میں ہو

تو اس کا ساتھی اس پر روشن ایک ستارہ رہتا ہے

لیکن ہم لوگوں کے دل یہ سوچ کے اکثر کانپ اٹھتے ہیں

جب یہ آنکھیں بجھ جائیں گی

سبز دریچہ ہو جائے گا بند تو آخر کیا ہوگا

حسن اکبر کمال

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen

Hassan Akbar Kamal

hum sab ki yaadon mein hai ek sabz-daricha
jis mein rakkha hai gul-dan
is gul-dan mein ab tak taza phul saje hain
phulon mein do aankhen hain
jo mazi ki tarik guzargahon mein
jaise shamen ban kar raushan hain
un aankhon aur hum logon mein
ab waqt ka sahra hail hai
dur hain lekin ye aankhen har lamha dekhti rahti hain
hum kaise hain kis des mein hain
kis bhes mein hain kin logon mein hain
kaun hamein KHushiyan deta hai kaun hamein gham deta hai
un se bichhaD ke kis se mile
aur kis se hue hum log juda
dukh mein aur tanhai mein wo kaun tha jis ko yaad kiya
hum roen to aaj bhi jaise ye aankhen ro deti hain
hum KHush hon to ye bhi KHush ho jati hain
in aankhon ka hamein sahaara rahta hai
jaise musafir dasht mein ho
to us ka sathi us par raushan ek sitara rahta hai
lekin hum logon ke dil ye soch ke akasr kanp uThte hain
jab ye aankhen bujh jaengi
sabz-daricha ho jaega band to aaKHir kya hoga

(864) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen written by Hassan Akbar Kamal at UrduPoint. Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen is one of the masterpieces written by Hassan Akbar Kamal. You can also find the complete poetry collection of Hassan Akbar Kamal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Akbar Kamal' above.

Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen is a widely read Urdu Nazam. If you like Mazi Mein Rah Jaane Wali Aankhen, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.